Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jangal ke raja ki shadi

Farhat Qamar

jangal ke raja ki shadi

Farhat Qamar

MORE BYFarhat Qamar

    jangal meñ mangal karvāyā ik bārāt sajā.ī

    jangal ke raaja ne apnī shādī ḳhuub rachā.ī

    meñDak-jī ne band bajāyā bhālū ne Dhol

    gīdaḌ sāhab ne bhī gaa.e mīThe mīThe bol

    bharī sabhā meñ bandar ne bandrī ko nachvāyā

    ban kar shāhī bhaaT gad.he ne Dheñchūñ raag sunāyā

    bane mahāshay bagule panDit kavve sāhab naa.ī

    jhīñgar-jī ne biin sañbhālī machchhar ne shahnā.ī

    jangal ke rahne vāloñ ne mil kar dhuum machā.ī

    jangal ke raaja ne apnī shādī ḳhuub rachā.ī

    miss billī ye bolīñ english biscuit laao myā.un

    mister kutte chīḳhe bhauñ bhauñ ruusī khānā khā.ūñ

    lomaḌ bole moTe moTe do murġhe pakvāo

    chūhā bolā kābul ke baḌhiyā chilġhoze laao

    pidde sāhab ne mañgvā.e amrikan pakvān

    piddī bolīñ barfī laao ho made in japan

    duur desh meñ bhej parinde har ik chiiz mañgā.ī

    jangal ke raaja ne apnī shādī ḳhuub rachā.ī

    jangal mein mangal karwaya ek baraat sajai

    jangal ke raja ne apni shadi KHub rachai

    meinDak-ji ne band bajaya bhaalu ji ne Dhol

    gidaD sahab ne bhi gae miThe miThe bol

    bhari sabha mein bandar ji ne bandri ko nachwaya

    ban kar shahi bhaT gadhe ne Dhenchun rag sunaya

    bane mahashay bagule panDit kawwe sahab nai

    jhingar-ji ne bin sanbhaali machchhar ne shahnai

    jangal ke rahne walon ne mil kar dhum machai

    jangal ke raja ne apni shadi KHub rachai

    miss billi ye bolin english biscuit lao myaun

    mister kutte chiKHe bhaun bhaun rusi khana khaun

    lomaD bole moTe moTe do murghe pakwao

    chuha bola kabul ke baDhiya chilghoze lao

    pidde sahab ne mangwae amrikan pakwan

    piddi bolin barfi lao ho made in japan

    dur desh mein bhej parinde har ek chiz mangai

    jangal ke raja ne apni shadi KHub rachai

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now