jangal ki aag
aag jañgal meñ lagī thī lekin
bastiyoñ meñ bhī dhuāñ jā pahuñchā
ek uḌtī huī chiñgārī kā
saaya phailā to kahāñ jā pahuñchā
tañg galiyoñ meñ umaDte hue log
go bachā laa.e haiñ jāneñ apnī
apne sar par haiñ janāze apne
apne hāthoñ meñ zabāneñ apnī
aag jab tak na bujhe jañgal kī
bastiyoñ tak koī jaatā hī nahīñ
husn-e-ashjār ke matvāloñ ko
husn-e-insāñ nazar aatā hī nahīñ
aag jangal mein lagi thi lekin
bastiyon mein bhi dhuan ja pahuncha
ek uDti hui chingari ka
saya phaila to kahan ja pahuncha
tang galiyon mein umaDte hue log
go bacha lae hain jaanen apni
apne sar par hain janaze apne
apne hathon mein zabanen apni
aag jab tak na bujhe jangal ki
bastiyon tak koi jata hi nahin
husn-e-ashjar ke matwalon ko
husn-e-insan nazar aata hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.