jangal ki lakDiyan
pahāḌī rāstoñ par
lakḌiyoñ kī gaThriyāñ sar par sambhāle
jā rahā hai ādī-vāsī auratoñ kā qāfila
ye qāfila kuchh duur jā kar
gaañv ke bāzār meñ Thahregā
aur phir lakḌiyāñ sar se utārī jā.eñgī
ḳhūbsūrat jañgaloñ se kaaT kar
laa.ī ga.ī ye lakḌiyāñ
bāzār kī zīnat baneñgī
lakḌiyoñ kā bojh Dho kar
laane vaalī aurteñ
ḳhāmosh rah kar
dil hī dil meñ
apne haTTe-kaTTe mardoñ kī
javāñ-mardī ke naġhme gā.eñgī
aur gaañv ke bāzār se kuchh duur
un ke mard
apnī tez kulhāḌī se
jañgal kā safāyā karne meñ
masrūf hoñge
ye vahī jañgal hai jis kā husn
qaa.em thā inhīñ shaidā.iyoñ se
zarre zarre meñ
isī jañgal ke goshe goshe meñ
shaidā.iyoñ kī ruuh bastī thī
isī jañgal meñ un kā jism lāġhar ho chalā hai
aur apnī zindagī ko
baaqī rakhne kā yahī ik rāsta
in ko nazar aayā hai
jañgal ḳhatm kar ke ḳhud vo jiinā chāhte haiñ
ham taraqqī ke hazāroñ da.ave
karne vaale dānish-mand
andar se bahut hī khokhle haiñ
pahaDi raston par
lakDiyon ki gaThriyan sar par sambhaale
ja raha hai aadi-wasi auraton ka qafila
ye qafila kuchh dur ja kar
ganw ke bazar mein Thahrega
aur phir lakDiyan sar se utari jaengi
KHubsurat jangalon se kaT kar
lai gai ye lakDiyan
bazar ki zinat banengi
lakDiyon ka bojh Dho kar
lane wali aurten
KHamosh rah kar
dil hi dil mein
apne haTTe-kaTTe mardon ki
jawan-mardi ke naghme gaengi
aur ganw ke bazar se kuchh dur
un ke mard
apni tez kulhaDi se
jangal ka safaya karne mein
masruf honge
ye wahi jangal hai jis ka husn
qaem tha inhin shaidaiyon se
zarre zarre mein
isi jangal ke goshe goshe mein
shaidaiyon ki ruh basti thi
isi jangal mein un ka jism laghar ho chala hai
aur apni zindagi ko
baqi rakhne ka yahi ek rasta
in ko nazar aaya hai
jangal KHatm kar ke KHud wo jina chahte hain
hum taraqqi ke hazaron dawe
karne wale danish-mand
andar se bahut hi khokhle hain
- Book : Geet Sunati hai hawa (Poetry) (Pg. 208)
- Author : Rashid Anwar Rashid
- Publication : Arshia Publications (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.