Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jangal mein mangal

Khatir Ghaznavi

jangal mein mangal

Khatir Ghaznavi

MORE BYKhatir Ghaznavi

    ik jañgal meñ hue ikaTThe

    saare jānvaroñ ke bachche

    bheḌ ne apnā lallā bhejā

    gaay ne bhī bachhḌā bhejā

    kutte pillā bhī aayā

    ullū paTThā bhī aayā

    bakrī ne bhī memne bheje

    aur billī ne bilauTe bheje

    murġhī ke chūze bhī aa.e

    bataḳh ke bachche bhī aa.e

    ghoḌe chālāk bachherā

    bhaiñs ke kaḌe ke saath aayā

    baaz kabūtar kavvā chiḌiyā

    hāthī uuñT uqaab aur shikrā

    bandar sher hiran aur kachhvā

    tītar mor baTer aur bagulā

    totā mainā fāḳhta sab ne

    apne apne bachche bheje

    kahīñ thiiñ chiiñ chiiñ kahīñ chyā.ūñ

    kahīñ thī meñ meñ kahīñ myā.un

    sab ne mil kar shor machāyā

    ik ḳhiḳhyāyā ik mimyāyā

    koī chīḳhā koī bhauñkā

    ullū bhī sote meñ chauñkā

    ḳhuub ye jalsa chamkā ya.anī

    baat na samjhā koī kisī

    ek jangal mein hue ikaTThe

    sare jaanwaron ke bachche

    bheD ne apna lalla bheja

    gay ne bhi bachhDa bheja

    kutte ka pilla bhi aaya

    ullu ka paTTha bhi aaya

    bakri ne bhi memne bheje

    aur billi ne bilauTe bheje

    murghi ke chuze bhi aae

    bataKH ke bachche bhi aae

    ghoDe ka chaalak bachhera

    bhains ke kaDe ke sath aaya

    baz kabutar kawwa chiDiya

    hathi unT uqab aur shikra

    bandar sher hiran aur kachhwa

    titar mor baTer aur bagula

    tota maina faKHta sab ne

    apne apne bachche bheje

    kahin thin chin chin kahin chyaun

    kahin thi mein mein kahin myaun

    sab ne mil kar shor machaya

    ek KHiKHyaya ek mimyaya

    koi chiKHa koi bhaunka

    ullu bhi sote mein chaunka

    KHub ye jalsa chamka yani

    baat na samjha koi kisi ki

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now