jangal na sahi
savere aisā lagā
jaise koī darvāze par dastak de rahā hai
uTh kar dekhā to koī nahīñ thā
khaT khaT kī āvāz par dhyān diyā
to khiḌkī ke paT par baiThā nazar aayā ek parinda
choñch se banā rahā thā naqsh-o-nigār
kyoñ bha.ī maiñ ne pūchhā to kahne lagā
kirā.e par chāhiye ek Tahnī jis par banā sakūñ apnā ghoñsla
apnī to jaise-taise kaT hī jā.egī
lekin bāl-bachchoñ kā kyā hogā
aap ke bhaa.ī bandoñ ne kaaT Daale jañgal
aur de diyā des nikālā
savāb kī niyyat se bhale aadmī dālān meñ rakh dete haiñ paanī kī kaTorī aur daana
peT kī aag bujhāne ko thoḌā sā khā pī lete haiñ
chhat bhale na ho khānā to chāhiye hī
kabhī lagtā hai bijlī ke taar chhū kar ḳhud-kushī kar luuñ
yā ūñche mobile Tāvaroñ se Takrā kar jaan de duuñ
jaise kisānoñ ko ḳhud-kushī ke baad sarkār kuchh imdād de detī hai
shāyad koī gosha hameñ bhī allot kar de bachchoñ ke liye
ye sun kar maiñ to chakrā gayā
is taraf to sach-much maiñ ne koī dhyān nahīñ diyā thā
jañgaloñ ko kāTte samay kis ne sochā hogā ki
ye be-zabān kahāñ jā.eñge
maiñ ne haath joḌ kar kahā
in zālimoñ kī taraf se maiñ muāfī māñgtā huuñ
ḳhudā ke vāste ḳhud-kushī kā ḳhayāl dil meñ na laanā
jab tak jī chāhe merī kunDī meñ lage one rome kitchen hī meñ guzāra kar lo
kuchh tañgī sahī lekin intizām ho jā.egā
us ne kahā
mehrbānī magar maiñ kirāya adā karne kā ahal nahīñ
maiñ ne kahā sub.h-shām apnī mīThī bolī sunā diyā karnā bas
mujhe aur kuchh nahīñ chāhiye
us ne kahā
mere dhanye bhaag ki aap jaise hamdard insān se mulāqāt ho ga.ī
lekin har koī to aap jaisā nahīñ
aur phir mere baaqī ham-jinsoñ kā kyā hogā
maiñ ne kahā
unheñ bhī kahīñ na kahīñ sar chhupāne ko jagah mill jā.egī
magar ḳhudārā tum ḳhud-kushī kā irāda tark kar do
ham jhaaḌ lagā.eñge aur un kī hifāzat bhī kareñge
ye sunte hī vo ḳhushī ḳhushī tinke jam.a karne meñ magan ho gayā
aur
maiñ ghar meñ aap ko ye saarā mājrā sunāne chalā aayā
is nanhe se parinde kī khaT khaT ne goyā mere dil-o-dimāġh ke
darvāze khol diye
ye sun kar yā paḌh kar aap bhī apne āñgan meñ ek jhaaḌ to
lagā.eñge nā
yā kunDī meñ ek biij to bo.eñge nā
kam-az-kam ek biij
sawere aisa laga
jaise koi darwaze par dastak de raha hai
uTh kar dekha to koi nahin tha
khaT khaT ki aawaz par dhyan diya
to khiDki ke paT par baiTha nazar aaya ek parinda
chonch se bana raha tha naqsh-o-nigar
kyon bhai main ne puchha to kahne laga
kirae par chahiye ek Tahni jis par bana sakun apna ghonsla
apni to jaise-taise kaT hi jaegi
lekin baal-bachchon ka kya hoga
aap ke bhai bandon ne kaT Dale jangal
aur de diya des nikala
sawab ki niyyat se bhale aadmi dalan mein rakh dete hain pani ki kaTori aur dana
peT ki aag bujhane ko thoDa sa kha pi lete hain
chhat bhale na ho khana to chahiye hi
kabhi lagta hai bijli ke tar chhu kar KHud-kushi kar lun
ya unche mobile Tawaron se Takra kar jaan de dun
jaise kisanon ko KHud-kushi ke baad sarkar kuchh imdad de deti hai
shayad koi gosha hamein bhi allot kar de bachchon ke liye
ye sun kar main to chakra gaya
is taraf to sach-much main ne koi dhyan nahin diya tha
jangalon ko kaTte samay kis ne socha hoga ki
ye be-zaban kahan jaenge
main ne hath joD kar kaha
in zalimon ki taraf se main muafi mangta hun
KHuda ke waste KHud-kushi ka KHayal dil mein na lana
jab tak ji chahe meri kunDi mein lage one rome kitchen hi mein guzara kar lo
kuchh tangi sahi lekin intizam ho jaega
us ne kaha
mehrbani magar main kiraya ada karne ka ahal nahin
main ne kaha subh-sham apni miThi boli suna diya karna bas
mujhe aur kuchh nahin chahiye
us ne kaha
mere dhanye bhag ki aap jaise hamdard insan se mulaqat ho gai
lekin har koi to aap jaisa nahin
aur phir mere baqi ham-jinson ka kya hoga
main ne kaha
unhen bhi kahin na kahin sar chhupane ko jagah mill jaegi
magar KHudara tum KHud-kushi ka irada tark kar do
hum jhaD lagaenge aur un ki hifazat bhi karenge
ye sunte hi wo KHushi KHushi tinke jama karne mein magan ho gaya
aur
main ghar mein aap ko ye sara majra sunane chala aaya
is nanhe se parinde ki khaT khaT ne goya mere dil-o-dimagh ke
darwaze khol diye
ye sun kar ya paDh kar aap bhi apne aangan mein ek jhaD to
lagaenge na
ya kunDi mein ek bij to boenge na
kam-az-kam ek bij
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.