janm-din
ik tārīḳh
jab is duniyā kī fazā meñ maiñ ne
pahlī saañs bharī thī
aur
aaj hī mujh ko
mausūl hue haiñ
kitnī duāoñ ke cheque
ab saarā baras
ārām rahegā
aur ḳhās-ul-ḳhās ik
kaam rahegā
qismat ke bank meñ jā kar
saare cheque
cash karā kar
rafta rafta
ḳharch karūñgā
jab ye daulat kam ho jaa.e
tab maiñ tanhā baiTh ke
ye duā.eñ karūñgā
ki agle baras kā
intizār
ḳhatm ho jaldī
ek tariKH
jab is duniya ki faza mein main ne
pahli sans bhari thi
aur
aaj hi mujh ko
mausul hue hain
kitni duaon ke cheque
ab sara baras
aaram rahega
aur KHas-ul-KHas ek
kaam rahega
qismat ke bank mein ja kar
sare cheque
cash kara kar
rafta rafta
KHarch karunga
jab ye daulat kam ho jae
tab main tanha baiTh ke
ye duaen karunga
ki agle baras ka
intizar
KHatm ho jaldi
- Book : Khwaab Palkon Mein (Pg. 103)
- Author : Vishal Khullar
- Publication : Insha Publications (2017)
- Edition : 2017
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.