janm-din
āsmāñ kī vus.atoñ meñ
merī nazreñ
DhūñDhtī haiñ us hasīñ maazī ko, jis kī
yaad ke saa.e bhī ghulte jā rahe haiñ ab havā meñ
aur mirī āñkhoñ se ojhal ho rahe haiñ lamha lamha
maiñ purānā sā koī insān huuñ, mahsūs ye hotā hai mujh ko
maiñ ne har sāvan meñ dhoyā hai badan ko
aur ye dhartī mujhe roz-e-azal se jāntī hai
yaad hai vo din mujhe achchhī tarah se
khaulte chiñghāḌte laave ke be-pāyāñ samundar se uchhal kar
ham ikaTThe hī gire the
aur sadiyoñ ba.ad hosh āyā, khulī jab aañkh merī
maiñ ne dekhā
maiñ to sadiyoñ pahle paidā ho chukā thā
aasman ki wusaton mein
meri nazren
DhunDhti hain us hasin mazi ko, jis ki
yaad ke sae bhi ghulte ja rahe hain ab hawa mein
aur meri aankhon se ojhal ho rahe hain lamha lamha
main purana sa koi insan hun, mahsus ye hota hai mujh ko
main ne har sawan mein dhoya hai badan ko
aur ye dharti mujhe roz-e-azal se jaanti hai
yaad hai wo din mujhe achchhi tarah se
khaulte chinghaDte lawe ke be-payan samundar se uchhal kar
hum ikaTThe hi gire the
aur sadiyon baad hosh aaya, khuli jab aankh meri
main ne dekha
main to sadiyon pahle paida ho chuka tha
- Book : Intekhab-e- kumaar paashii (Pg. 94)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.