janm janm ki kahani
kuchh din pahle tak maiñ kabūtar thī
āñkheñ band kar ke sochtī
ki duniyā se billiyoñ kā vajūd miT chukā hai
aur us se bhī pahle
maiñ chakor aur tītar ke darmiyān koī shai thī
sub.hān terī qudrat kī bolī boltī thī
aur chāñdnī-rāt meñ be-qarār rahtī thī
jab maiñ us se bhī pahle
kutiyā thī to saarā saarā din
apne mālik ke paañv chāTtī rahtī thī
magar mere pyaar kā ye sila milā
ki vo ek aur kutiyā le aayā
is se pahle ke janm meñ
maiñ ek ḳhūb-sūrat hirnī thī
vo zamāna sab se achchhā thā
magar bahut jaldī guzar gayā
aur mujhe kutiyā ban jaanā paḌā
hirnī se pahle kā arsa
maiñ ne ḳhargosh ban kar guzāra thā
mujh se sab pyaar kiyā karte the
maiñ bhī sab ko chāhtī thī
tab maiñ narm narm hotī thī
āj-kal maiñ ek bakrī huuñ
sochtī huuñ
bahut jī liyā hai
merā mālik ek saḳht-dil aadmī hai
an-qarīb vo kisī qasā.ī ke haath
mujhe bech degā
aur log merā gosht
khāte hue socheñge
dekhne meñ to achchhā thā
jaane kyuuñ galā nahīñ
kuchh din pahle tak main kabutar thi
aankhen band kar ke sochti
ki duniya se billiyon ka wajud miT chuka hai
aur us se bhi pahle
main chakor aur titar ke darmiyan koi shai thi
subhan teri qudrat ki boli bolti thi
aur chandni-raat mein be-qarar rahti thi
jab main us se bhi pahle
kutiya thi to sara sara din
apne malik ke panw chaTti rahti thi
magar mere pyar ka ye sila mila
ki wo ek aur kutiya le aaya
is se pahle ke janm mein
main ek KHub-surat hirni thi
wo zamana sab se achchha tha
magar bahut jaldi guzar gaya
aur mujhe kutiya ban jaana paDa
hirni se pahle ka arsa
main ne KHargosh ban kar guzara tha
mujh se sab pyar kiya karte the
main bhi sab ko chahti thi
tab main narm narm hoti thi
aaj-kal main ek bakri hun
sochti hun
bahut ji liya hai
mera malik ek saKHt-dil aadmi hai
an-qarib wo kisi qasai ke hath
mujhe bech dega
aur log mera gosht
khate hue sochenge
dekhne mein to achchha tha
jaane kyun gala nahin
- Book : siip (Magzin) (Pg. 182)
- Author : Nasiim Durraani
- Publication : Fikr-e-Nau ( 39 (Quarterly) )
- Edition : 39 (Quarterly)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.