jannat se dur
gavāhī hashr ke din
tamām a.azā ke saath
ham insānoñ kī ḳhālī jeb kī bhī maan lī jaa.e
to mumkin hai ki beḌā paar ho jaa.e
razā aur sabr kī tākīd par
vo sirf aur sirf ḳhālī jeb hai insān kī jo
bahut khul kar ḳhudā se baat kar saktī hai shāyad
vahī hai jo farishtoñ kī likhī sīdhī sapāT a.amāl kī rūdād meñ bhī
na.e kuchh rañg bhar saktī hai shāyad
magar Thahro
bahut ḳhush-fahm mat ho
sunā ye hai ḳhudā kī jeb uupar tak bharī rahtī hai har dam
aur kabhī ḳhālī nahīñ hotī
use to donoñ hāthoñ se luTānā bāñTanā aatā hai bas
aisī rivāyat hai
yahī to peñch hai
vo ḳhud jis tajrabe se duur hai
us ko nazar meñ rakh ke koī faisla karnā
use manzūr hogā kyaa?
abhī kuchh der pahle lag rahā thā
ab hameñ aisā nahīñ lagtā
ki ḳhālī jeb aur us ke dalā.el kā koī us par asar hogā
to matlab ye huā
ham log ab bhī duur haiñ utnā hī jannat se
ki jitnā ye ḳhayāl aane se pahle the
gawahi hashr ke din
tamam aaza ke sath
hum insanon ki KHali jeb ki bhi man li jae
to mumkin hai ki beDa par ho jae
raza aur sabr ki takid par
wo sirf aur sirf KHali jeb hai insan ki jo
bahut khul kar KHuda se baat kar sakti hai shayad
wahi hai jo farishton ki likhi sidhi sapaT aamal ki rudad mein bhi
nae kuchh rang bhar sakti hai shayad
magar Thahro
bahut KHush-fahm mat ho
suna ye hai KHuda ki jeb upar tak bhari rahti hai har dam
aur kabhi KHali nahin hoti
use to donon hathon se luTana banTana aata hai bas
aisi riwayat hai
yahi to pench hai
wo KHud jis tajrabe se dur hai
us ko nazar mein rakh ke koi faisla karna
use manzur hoga kya?
abhi kuchh der pahle lag raha tha
ab hamein aisa nahin lagta
ki KHali jeb aur us ke dalael ka koi us par asar hoga
to matlab ye hua
hum log ab bhi dur hain utna hi jannat se
ki jitna ye KHayal aane se pahle the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.