jashn-e-azadi
āzādī kā jashn manāo
giit ḳhushī ke mil ke gaao
har har gaam pe ishrat-e-manzil
jaise lailā zīnat-e-mahmil
sāġhar raqsāñ mahfil mahfil
shauq hai daur-e-jām meñ shāmil
ḳhuub piyo aur ḳhuub pilāo
āzādī kā jashn manāo
ek hī desh ke basne vaale
hind kī azmat ke rakhvāle
maut se Takrā.eñ vo jiyāle
duniyā un se dars-e-vafā le
ḳhalq ko ye paiġhām sunāo
āzādī kā jashn manāo
lekin tum ko ye bhī ḳhabar hai
saarī jantā nauhagar hai
ik pal jiinā bhī dūbhar hai
saañs nahīñ hai ik nashtar hai
kuchh un ko rāhat pahuñchāo
āzādī kā jashn manāo
ye fāqoñ kī maarī jantā
bebas aur dukhiyārī jantā
desh kī pyārī pyārī jantā
bhārat kī balihārī jantā
jantā ke dukh-dard miTāo
āzādī ke jashn manāo
daur meñ yuuñ aa.e paimāna
jhuum uThe har ik dīvāna
chheḌ de mutrib koī tarāna
aa jaa.e ishrat kā zamāna
aao diloñ ke jot jagāo
āzādī kā jashn manāo
aazadi ka jashn manao
git KHushi ke mil ke gao
har har gam pe ishrat-e-manzil
jaise laila zinat-e-mahmil
saghar raqsan mahfil mahfil
shauq hai daur-e-jam mein shamil
KHub piyo aur KHub pilao
aazadi ka jashn manao
ek hi desh ke basne wale
hind ki azmat ke rakhwale
maut se Takraen wo jiyale
duniya un se dars-e-wafa le
KHalq ko ye paigham sunao
aazadi ka jashn manao
lekin tum ko ye bhi KHabar hai
sari janta nauhagar hai
ek pal jina bhi dubhar hai
sans nahin hai ek nashtar hai
kuchh un ko rahat pahunchao
aazadi ka jashn manao
ye faqon ki mari janta
bebas aur dukhiyari janta
desh ki pyari pyari janta
bhaarat ki balihaari janta
janta ke dukh-dard miTao
aazadi ke jashn manao
daur mein yun aae paimana
jhum uThe har ek diwana
chheD de mutrib koi tarana
aa jae ishrat ka zamana
aao dilon ke jot jagao
aazadi ka jashn manao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.