jashn-e-azadi
barq-raftārī pe apnī rashk kartā thā jahāñ
sū-e-āzādī hamārā qāfila thā tez-gām
sīkhnā hai lekin ab mai-ḳhāna-e-ta.amīr meñ
jumbish-e-nabz-e-tamannā o ḳhirām-e-daur-e-jām
manzil-e-maqsūd tak ye qaum jā saktī nahīñ
jis ke qabze meñ nahīñ asp-e-siyāsat kī lagām
ham ko bachnā chāhiye har us bure iqdām se
jis se ho matūn duniyā meñ vatan kā nek naam
ittihād o āshtī har dam raheñ pesh-e-nazar
jā-guzīñ dil meñ rahe zauq-e-amal bil-iltizām
daur-e-āzādī kā gauhar aish hai aish-e-halāl
dil ye kahtā hai ki yuuñ pāband honā hai harām
dil kī talqīnāt par pahle amal farmā.iye
shauq se phir jashn-e-āzādī manāte jā.iye
aish ke sāmāñ bhī hoñ aur farz kā ehsās bhī
jashn bhī ho ġham-zadoñ kī nāz-bardārī bhī ho
dāḳhil-e-ādāb-e-mai-noshī ho saaqī kā adab
mastiyāñ hoñ mastiyoñ ke saath hushyārī bhī ho
kuchh piyeñ aur kuchh bachā.eñ tishna-kāmoñ ke liye
sādgī kā naaz bhī andāz-e-purkārī bhī ho
haal kī ḳhātir ḳhirad-koshī hai mustahsan magar
bahr-e-mustaqbil junūn-e-zauq-e-bedārī bhī ho
narm-raftārī ho vaqt-e-sair-e-gulzār-e-tarab
rāh-e-pur-ḳhār-e-amal meñ garm-raftārī bhī ho
is ḳhushī ke vaqt kitne dil haiñ ġham se pā.emāl
lutf aa jaa.e agar in sab kī ġham-ḳhvārī bhī ho
rone vāloñ kī hañsī ko pahle vāpas lā.iye
shauq se phir jashn-e-āzādī manāte jā.iye
barq-raftari pe apni rashk karta tha jahan
su-e-azadi hamara qafila tha tez-gam
sikhna hai lekin ab mai-KHana-e-tamir mein
jumbish-e-nabz-e-tamanna o KHiram-e-daur-e-jam
manzil-e-maqsud tak ye qaum ja sakti nahin
jis ke qabze mein nahin asp-e-siyasat ki lagam
hum ko bachna chahiye har us bure iqdam se
jis se ho matun duniya mein watan ka nek nam
ittihad o aashti har dam rahen pesh-e-nazar
ja-guzin dil mein rahe zauq-e-amal bil-iltizam
daur-e-azadi ka gauhar aish hai aish-e-halal
dil ye kahta hai ki yun paband hona hai haram
dil ki talqinat par pahle amal farmaiye
shauq se phir jashn-e-azadi manate jaiye
aish ke saman bhi hon aur farz ka ehsas bhi
jashn bhi ho gham-zadon ki naz-bardari bhi ho
daKHil-e-adab-e-mai-noshi ho saqi ka adab
mastiyan hon mastiyon ke sath hushyari bhi ho
kuchh piyen aur kuchh bachaen tishna-kaamon ke liye
sadgi ka naz bhi andaz-e-purkari bhi ho
haal ki KHatir KHirad-koshi hai mustahsan magar
bahr-e-mustaqbil junun-e-zauq-e-bedari bhi ho
narm-raftari ho waqt-e-sair-e-gulzar-e-tarab
rah-e-pur-KHar-e-amal mein garm-raftari bhi ho
is KHushi ke waqt kitne dil hain gham se paemal
lutf aa jae agar in sab ki gham-KHwari bhi ho
rone walon ki hansi ko pahle wapas laiye
shauq se phir jashn-e-azadi manate jaiye
- Book : Kulliyat-e-Arsh (Pg. 196)
- Author : Arsh Malsiyani
- Publication : Ali Hujwiri Publisher H. 811, A Androon, Akbari Gate, Lahore
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.