jashn-e-azadi
jānib-e-manzil hamārā kārvāñ baḌhtā gayā
amn ke parcham liye hindostāñ baḌhtā gayā
ye amīn-e-dostāñ thā dushmanoñ se be-niyāz
azm-o-istiqlāl kā le kar nishāñ baḌhtā gayā
har sitam par kī buland is ne sadā-e-ehtijāj
ban ke ik paiġhambar-e-amn-o-amāñ baḌhtā gayā
ahl-e-bātil dekh kar hairat se muñh takte rahe
rāh-e-haq par be-ḳhatar bā-izz-o-shāñ baḌhtā gayā
ghir ke aafat meñ pukārā jab kisī mazlūm ne
us kī jānib ye ba-shakl-e-pāsbāñ baḌhtā gayā
hai hamārī manzil-e-maqsūd ta.amīr-e-vatan
kārvāñ ab tak hamārā kāmrāñ baḌhtā gayā
muntaḳhab ham ne kiyā thā ek mīr-e-kārvāñ
vo baḌhā jis samt har pīr-o-javāñ baḌhtā gayā
raushnī miltī rahegī sab ko bhārat se 'shifā'
amn kī jānib agar saarā jahāñ baḌhtā gayā
jaanib-e-manzil hamara karwan baDhta gaya
amn ke parcham liye hindostan baDhta gaya
ye amin-e-dostan tha dushmanon se be-niyaz
azm-o-istiqlal ka le kar nishan baDhta gaya
har sitam par ki buland is ne sada-e-ehtijaj
ban ke ek paighambar-e-amn-o-aman baDhta gaya
ahl-e-baatil dekh kar hairat se munh takte rahe
rah-e-haq par be-KHatar ba-izz-o-shan baDhta gaya
ghir ke aafat mein pukara jab kisi mazlum ne
us ki jaanib ye ba-shakl-e-pasban baDhta gaya
hai hamari manzil-e-maqsud tamir-e-watan
karwan ab tak hamara kaamran baDhta gaya
muntaKHab hum ne kiya tha ek mir-e-karwan
wo baDha jis samt har pir-o-jawan baDhta gaya
raushni milti rahegi sab ko bhaarat se 'shifa'
amn ki jaanib agar sara jahan baDhta gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.