jashn-e-azadi
jashn-e-āzādī-e-jamhūr manā.eñ logo
goshe goshe meñ musāvāt kā charchā kar deñ
koī bhūkā na rahe koī bhī nangā na rahe
aaj har fard kī in.aam se jholī bhar deñ
apne kirdār ko is tarah nikhāreñ ham log
dushman-e-jāñ bhī nigāheñ na uThāne paa.e
amn ke phuul se rāhoñ ko sajā deñ itnā
zaḳhm kāñToñ kā koī paañv na khāne paa.e
buġhz-o-nafrat kā añdherā na rahe dhartī par
ham mohabbat ke charāġhoñ se charāġhāñ kar deñ
adl-o-insāf kī kirnoñ ko farozāñ kar ke
haq-parastī ko zamāne pe numāyāñ kar deñ
ham agar apne masā.il kā koī hal DhūñDeñ
kitne uljhe hue zehnoñ ko sukūñ mil jaa.e
azm-o-himmat se agar kaam le zehn-e-jamhūr
dahr ke sho.ala-mizājoñ kā jahāñ hil jaa.e
jashn-e-azadi-e-jamhur manaen logo
goshe goshe mein musawat ka charcha kar den
koi bhuka na rahe koi bhi nanga na rahe
aaj har fard ki inam se jholi bhar den
apne kirdar ko is tarah nikhaaren hum log
dushman-e-jaan bhi nigahen na uThane pae
amn ke phul se rahon ko saja den itna
zaKHm kanTon ka koi panw na khane pae
bughz-o-nafrat ka andhera na rahe dharti par
hum mohabbat ke charaghon se charaghan kar den
adl-o-insaf ki kirnon ko farozan kar ke
haq-parasti ko zamane pe numayan kar den
hum agar apne masail ka koi hal DhunDen
kitne uljhe hue zehnon ko sukun mil jae
azm-o-himmat se agar kaam le zehn-e-jamhur
dahr ke shoala-mizajon ka jahan hil jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.