jashn-e-azadi
meñh barastā hai to dhartī kī nazar jhūmtī hai
phuul khilte haiñ to gulshan pe nikhār aatā hai
lekin ai jashn-e-bahārāñ ke na.e muntazimo
ḳhud-farebī se kahīñ dil ko qarār aatā hai
tum agar jashn-e-bahārāñ bhī kahoge is ko
maut ke ghaaT ye dhoka bhī utar jā.egā
bād-e-sarsar ko agar tum ne kahā mauj-e-nasīm
is se mausam meñ koī farq nahīñ aa.egā
ye gulistāñ ye gulistāñ meñ sisakte ġhunche
apne a.amāl ke parde meñ inheñ Dhāñp to lo
eqtidār aaj bhī sargarm-e-safar hai lekin
be-navāoñ ke irādoñ ko zarā bhāñp to lo
aaj insān kī azmat ne kiyā hai elaan
ḳhud-farebī se koī jī ko na bahalā.egā
jab tak ārā.ish-e-gulzār nahīñ ho jaatī
kisī koñpal kisī ġhunche ko na chain aa.egā
lekin ai jashn-e-bahārāñ ke na.e muntazimo
ye tamāshā hameñ be-kār nazar aatā hai
meñh barastā hai na dhartī kī nazar jhūmtī hai
phuul khilte haiñ na gulshan pe nikhār aatā hai
meinh barasta hai to dharti ki nazar jhumti hai
phul khilte hain to gulshan pe nikhaar aata hai
lekin ai jashn-e-bahaaran ke nae muntazimo
KHud-farebi se kahin dil ko qarar aata hai
tum agar jashn-e-bahaaran bhi kahoge is ko
maut ke ghaT ye dhoka bhi utar jaega
baad-e-sarsar ko agar tum ne kaha mauj-e-nasim
is se mausam mein koi farq nahin aaega
ye gulistan ye gulistan mein sisakte ghunche
apne aamal ke parde mein inhen Dhanp to lo
eqtidar aaj bhi sargarm-e-safar hai lekin
be-nawaon ke iradon ko zara bhanp to lo
aaj insan ki azmat ne kiya hai elan
KHud-farebi se koi ji ko na bahalaega
jab tak aaraish-e-gulzar nahin ho jati
kisi konpal kisi ghunche ko na chain aaega
lekin ai jashn-e-bahaaran ke nae muntazimo
ye tamasha hamein be-kar nazar aata hai
meinh barasta hai na dharti ki nazar jhumti hai
phul khilte hain na gulshan pe nikhaar aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.