jashn-e-azadi
kaam jo rishvat se ban jaa.e banānā chāhiye
chor-bāzārī meñ kaalā dhan kamānā chāhiye
duudh meñ paanī bā-āzādī milānā chāhiye
jis se matlab ho use makkhan lagānā chāhiye
dosto! yuuñ jashn-e-āzādī manānā chāhiye?
chāval aur gandum na kuchh faulād paidā kījiye
nisf darjan kam se kam aulād paidā kījiye
mas.ale phir aap lā-ta.adād paidā kījiye
māhir-e-mansūba-bañdī ko bhagānā chāhiye
dosto! yuuñ jashn-e-āzādī manānā chāhiye?
maañg hai stereo kī aur v-c-r kī
ḳhair ho ab audio video ke kārobār kī
shakl milne lag ga.ī happy se bar-ḳhurdār kī
jis ke lap par har ghaḌī disko tarāna chāhiye
dosto! yuuñ jashn-e-āzādī manānā chāhiye?
rickshaw o taxy kā meter tez honā chāhiye
nursery kā master añgrez honā chāhiye
aqd kā me.aar itnā ''rase'' honā chāhiye
zindagī kā partner misl-e-''diyānā'' chāhiye
dosto! yuuñ jashn-e-āzādī manānā chāhiye?
jī meñ jo aa.e kiye jaao ki tum āzād ho
motareñ tezī se dauḌāo ki tum āzād ho
hādsa kar ke khisak jaao ki tum āzād ho
dhar liye jaao to fauran ''makmakānā'' chāhiye
dosto! yuuñ jashn-e-āzādī manānā chāhiye?
aaj is andāz ko yaksar badalnā hai hameñ
ham bahut bigḌe haiñ lekin ab sañvarnā hai hameñ
des kī ḳhātir hī jiinā aur marnā hai hameñ
jo na ab tak ho sakā ab kar dikhānā chāhiye
dosto! yuuñ jashn-e-āzādī manānā chāhiye?
kaam jo rishwat se ban jae banana chahiye
chor-bazari mein kala dhan kamana chahiye
dudh mein pani ba-azadi milana chahiye
jis se matlab ho use makkhan lagana chahiye
dosto! yun jashn-e-azadi manana chahiye?
chawal aur gandum na kuchh faulad paida kijiye
nisf darjan kam se kam aulad paida kijiye
masale phir aap la-tadad paida kijiye
mahir-e-mansuba-bandi ko bhagana chahiye
dosto! yun jashn-e-azadi manana chahiye?
mang hai stereo ki aur w-c-r ki
KHair ho ab audio wideo ke karobar ki
shakl milne lag gai happy se bar-KHurdar ki
jis ke lap par har ghaDi disko tarana chahiye
dosto! yun jashn-e-azadi manana chahiye?
rickshaw o taxy ka meter tez hona chahiye
nursery ka master angrez hona chahiye
aqd ka mear itna rase hona chahiye
zindagi ka partner misl-e-diyana chahiye
dosto! yun jashn-e-azadi manana chahiye?
ji mein jo aae kiye jao ki tum aazad ho
motaren tezi se dauDao ki tum aazad ho
hadsa kar ke khisak jao ki tum aazad ho
dhar liye jao to fauran makmakana chahiye
dosto! yun jashn-e-azadi manana chahiye?
aaj is andaz ko yaksar badalna hai hamein
hum bahut bigDe hain lekin ab sanwarna hai hamein
des ki KHatir hi jina aur marna hai hamein
jo na ab tak ho saka ab kar dikhana chahiye
dosto! yun jashn-e-azadi manana chahiye?
- Book : Dish antenna (Pg. 199)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.