fanus-e-hind ka shoala
zinda-bāsh ai inqalāb ai shola-e-fānūs-e-hind
garmiyāñ jis kī faroġh-e-manqal-e-jāñ ho ga.iiñ
bastiyoñ par chhā rahī thiiñ maut kī ḳhāmoshiyāñ
tū ne suur apnā jo phūñkā mahsharistāñ ho ga.iiñ
jitnī būñdeñ thiiñ shahīdān-e-vatan ke ḳhuun kī
qasre-āzādī kī ārā.ish kā sāmāñ ho ga.iiñ
marhabā ai nau-giraftārān-e-bedād-e-farañg
jin kī zanjīreñ ḳharosh-afzā-e-zindāñ ho ga.iiñ
zindagī un kī hai diin un kā hai duniyā un kī hai
jin kī jāneñ qaum kī izzat pe qurbāñ ho ga.iiñ
zinda-bash ai inqalab ai shola-e-fanus-e-hind
garmiyan jis ki farogh-e-manqal-e-jaan ho gain
bastiyon par chha rahi thin maut ki KHamoshiyan
tu ne sur apna jo phunka mahsharistan ho gain
jitni bunden thin shahidan-e-watan ke KHun ki
qasre-azadi ki aaraish ka saman ho gain
marhaba ai nau-giraftaran-e-bedad-e-farang
jin ki zanjiren KHarosh-afza-e-zindan ho gain
zindagi un ki hai din un ka hai duniya un ki hai
jin ki jaanen qaum ki izzat pe qurban ho gain
- Book : Azadi Ki Nazmein (Pg. 36)
- Author : Sibte Hasan
- Publication : National Council For Promotion Of Urdu Language (1985,2007)
- Edition : 1985,2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.