jashn-e-jamhuriyat
javāniyāñ haiñ zor par shabāb kā zuhūr hai
ba-e-faiz-e-qalb-e-mutma.in nazar nazar ġhayūr hai
umañg hai tarañg hai nashāt hai surūr hai
nishān-e-zulmat-e-alam qarīb hai na duur hai
har ek qumquma yahāñ charāġh-e-koh-e-tūr hai
har ik fazā pe rañg hai har ek samt nuur hai
dharī huī haiñ baaġh meñ idhar-udhar surāhiyāñ
chhalak rahe haiñ jām-e-mai ba-faiz-e-sāqī-e-javāñ
chale haiñ bahr-e-mai-kashī shuyūḳh bhī ravāñ-davāñ
zabān-e-barg-e-gul pe hai ye nāra-e-tarb-nishāñ
qusūr-vār zohd hai piye jo be-qusūr hai
har ik fazā pe rañg hai har ek samt nuur hai
jhukī huī nigāh meñ adā-e-fitna-parvarī
hayā meñ shān-e-tamkanat jamāl meñ fusūñ-garī
naqāb-e-husn-posh meñ numū-e-shān-e-dil-barī
hijāb-e-sharm-kosh meñ ġhulū-e-nāz-e-kāfirī
butoñ kā husn-e-sāda aaj husn-e-pur-ġhurūr hai
har ik fazā pe rañg hai har ek samt nuur hai
uḌeñ chaman meñ Tahniyāñ pahan ke sabz sāriyāñ
chaleñ havā ke dosh par shamīm kī svāriyāñ
ufuq se tā ufuq ga.iiñ dhanak kī shoḳh dhāriyāñ
havā-e-tund kī nahīñ kahīñ bhī harzā-kāriyāñ
vatan kī is bahār meñ junūñ bhī bā-shu.ūr hai
har ik fazā pe rañg hai har ek samt nuur hai
nasīm-e-sub.h baaġh meñ gulāb ko thapak ga.ī
nigār-e-shāḳh-sār kī naqāb-e-ruḳh sarak ga.ī
havā-e-mushk-bār se kalī kalī chaTak ga.ī
ziyā-e-nau-bahār se kiran kiran damak ga.ī
ziyā-e-nau-bahār hai ki barq-e-koh-e-tūr hai
har ik fazā pe rañg hai har ek samt nuur hai
sabāhatoñ kī jaan hai har ek rū-e-ḳhush-numū
malāhatoñ kī kaan hai har ek zulf-e-mushkbū
bahisht-o-ḳhuld kī abas tujhe hai arsh justujū
malak-sarisht hai yahāñ har ek mard-e-ḳhūb-rū
har ik zan-e-nazar-pasand apsarā hai huur hai
har ik fazā pe rañg hai har ek samt nuur hai
jawaniyan hain zor par shabab ka zuhur hai
ba-e-faiz-e-qalb-e-mutmain nazar nazar ghayur hai
umang hai tarang hai nashat hai surur hai
nishan-e-zulmat-e-alam qarib hai na dur hai
har ek qumquma yahan charagh-e-koh-e-tur hai
har ek faza pe rang hai har ek samt nur hai
dhari hui hain bagh mein idhar-udhar surahiyan
chhalak rahe hain jam-e-mai ba-faiz-e-saqi-e-jawan
chale hain bahr-e-mai-kashi shuyuKH bhi rawan-dawan
zaban-e-barg-e-gul pe hai ye nara-e-tarb-nishan
qusur-war zohd hai piye jo be-qusur hai
har ek faza pe rang hai har ek samt nur hai
jhuki hui nigah mein ada-e-fitna-parwari
haya mein shan-e-tamkanat jamal mein fusun-gari
naqab-e-husn-posh mein numu-e-shan-e-dil-bari
hijab-e-sharm-kosh mein ghulu-e-naz-e-kafiri
buton ka husn-e-sada aaj husn-e-pur-ghurur hai
har ek faza pe rang hai har ek samt nur hai
uDen chaman mein Tahniyan pahan ke sabz sariyan
chalen hawa ke dosh par shamim ki swariyan
ufuq se ta ufuq gain dhanak ki shoKH dhaariyan
hawa-e-tund ki nahin kahin bhi harza-kariyan
watan ki is bahaar mein junun bhi ba-shuur hai
har ek faza pe rang hai har ek samt nur hai
nasim-e-subh bagh mein gulab ko thapak gai
nigar-e-shaKH-sar ki naqab-e-ruKH sarak gai
hawa-e-mushk-bar se kali kali chaTak gai
ziya-e-nau-bahaar se kiran kiran damak gai
ziya-e-nau-bahaar hai ki barq-e-koh-e-tur hai
har ek faza pe rang hai har ek samt nur hai
sabahaton ki jaan hai har ek ru-e-KHush-numu
malahaton ki kan hai har ek zulf-e-mushkbu
bahisht-o-KHuld ki abas tujhe hai arsh justuju
malak-sarisht hai yahan har ek mard-e-KHub-ru
har ek zan-e-nazar-pasand apsara hai hur hai
har ek faza pe rang hai har ek samt nur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.