jashn-e-masarrat
yuuñ jashn-e-masarrat kī har samt ghaTā chhā.ī
phūloñ pe nikhār aayā kaliyoñ ko hañsī aa.ī
shādāb huī khetī fasloñ pe bahār aa.ī
bahtī huī nadiyoñ ne kī bādiya-paimā.ī
baapū ke ahinsā kī nehru ke taḳhayyul kī
tanvīr nazar aa.ī tasvīr nazar aa.ī
zehnoñ se jahālat kī zulmat ko miTā Daalā
ab ilm ke sūraj kī ghar-ghar meñ kiran aa.ī
science meñ hirfat meñ hāsil huī yaksūī
is daur meñ bhārat ne har fan meñ jilā paa.ī
ab dil meñ umangeñ haiñ nazroñ meñ masarrat hai
har samt hai zebā.ī har samt hai ra.anā.ī
duniyā kī nigāheñ bhī pā-bos-e-qayādat haiñ
is bint-e-javāhar kī allah re masīhā.ī
yun jashn-e-masarrat ki har samt ghaTa chhai
phulon pe nikhaar aaya kaliyon ko hansi aai
shadab hui kheti faslon pe bahaar aai
bahti hui nadiyon ne ki baadiya-paimai
bapu ke ahinsa ki nehru ke taKHayyul ki
tanwir nazar aai taswir nazar aai
zehnon se jahaalat ki zulmat ko miTa Dala
ab ilm ke suraj ki ghar-ghar mein kiran aai
science mein hirfat mein hasil hui yaksui
is daur mein bhaarat ne har fan mein jila pai
ab dil mein umangen hain nazron mein masarrat hai
har samt hai zebai har samt hai ranai
duniya ki nigahen bhi pa-bos-e-qayaadat hain
is bint-e-jawahar ki allah re masihai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.