jashn-e-salgirah
sālgirah ḳhargosh manā.e
jañgal ke sab sāthī aa.e
bhiiḌ lagī hai mehmānoñ kī
kuchh apnoñ kuchh begānoñ kī
sher dahāḌeñ mārtā aa.e
hāthī bhī chiñghāḌtā aa.e
kuttā bhauñ bhauñ kartā aayā
sāñbhar chaukḌī bhartā aayā
gaay jab rambhātī aa.ī
bakrī kuchh sharmātī aa.ī
nāchtā gaatā aayā bhālū
Doltā aayā menDhā kaalū
ghoḌā sarpaT dauḌā aayā
bhaiñsoñ kā ik joḌā aayā
hirnī aa.ī lomḌī aa.ī
billī apne bachche laa.ī
saath meñ sab hī laa.e tohfe
sab ḳhargosh ne paa.e tohfe
phūloñ kā guldasta le kar
chiiñ chiiñ kartā aayā bandar
cake banā ke laayā chītā
us ne dil ḳhargosh kā jiitā
cake kaTā to saare ḳhush the
cake baTā to saare ḳhush the
ik duuje se gale mile sab
bhuul ke shikve aur gile sab
bandar nāche bhālū gaa.e
kaalū meñDhā Dhol bajā.e
sālgirah kā jashn bapā hai
jañgal jañgal shor huā hai
salgirah KHargosh manae
jangal ke sab sathi aae
bhiD lagi hai mehmanon ki
kuchh apnon kuchh beganon ki
sher dahaDen marta aae
hathi bhi chinghaDta aae
kutta bhaun bhaun karta aaya
sanbhar chaukDi bharta aaya
gay jab rambhati aai
bakri kuchh sharmati aai
nachta gata aaya bhaalu
Dolta aaya meinDha kalu
ghoDa sarpaT dauDa aaya
bhainson ka ek joDa aaya
hirni aai lomDi aai
billi apne bachche lai
sath mein sab hi lae tohfe
sab KHargosh ne pae tohfe
phulon ka guldasta le kar
chin chin karta aaya bandar
cake bana ke laya chita
us ne dil KHargosh ka jita
cake kaTa to sare KHush the
cake baTa to sare KHush the
ek duje se gale mile sab
bhul ke shikwe aur gile sab
bandar nache bhaalu gae
kalu meinDha Dhol bajae
salgirah ka jashn bapa hai
jangal jangal shor hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.