jast
mirā haal ye thā
zamistāñ meñ jab barf-zāroñ meñ chalte hue
gurisna bheḌiyoñ kī qatāreñ guzartīñ
to meñ kapkapātā
ye jī chāhtā arsa-e-zīst ko chhoḌ kar
kohsāroñ ke us paar Derā lagā luuñ
idhar mere jaate hī barfeñ pighal jaa.eñ
gurgān-e-be-mehr mere nuqūsh-e-qadam sūñgh kar mujh tak aane na paa.eñ
magar ab to jaise
mirī ruuh meñ koī chītā sā añgḌā.iyāñ le rahā hai
ye jī chāhtā hai
ki gurg-e-āshtī kī sabhā jab lage
maiñ bhī tasvīr jaisī khulī aañkh le kar
jo hargiz jhapaktī na ho
ġhaar ke vast meñ aan baiThūñ
aur un meñ se jis jis kī āñkheñ jhapaktī chalī jaa.eñ
vo lahza lahza mirā rizq ho
maiñ use pāra-pāra karūñ
mera haal ye tha
zamistan mein jab barf-zaron mein chalte hue
gurisna bheDiyon ki qataren guzartin
to mein kapkapata
ye ji chahta arsa-e-zist ko chhoD kar
kohsaron ke us par Dera laga lun
idhar mere jate hi barfen pighal jaen
gurgan-e-be-mehr mere nuqush-e-qadam sungh kar mujh tak aane na paen
magar ab to jaise
meri ruh mein koi chita sa angDaiyan le raha hai
ye ji chahta hai
ki gurg-e-ashti ki sabha jab lage
main bhi taswir jaisi khuli aankh le kar
jo hargiz jhapakti na ho
ghaar ke wast mein aan baiThun
aur un mein se jis jis ki aankhen jhapakti chali jaen
wo lahza lahza mera rizq ho
main use para-para karun
- Book : sarabon ke sadaf (Pg. 100)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.