jawab-e-shikwa
aah jab dil se nikaltī hai asar rakhtī hai
gulshan-e-zīst jalāne ko sharar rakhtī hai
top talvār na ye teġh-o-tabar rakhtī hai
bint-e-havvā kī tarah tīr-e-nazar rakhtī hai
itnā pur-soz huā nāla-e-saffāk mirā
kar gayā dil pe asar shikva-e-bebāk mirā
ye kahā sun ke sasur ne ki kahīñ hai koī
saas chupke se ye bolīñ ki yahīñ hai koī
sāliyāñ kahne lagīñ qurb-o-qarīñ hai koī
saale ye bole ki mardūd-o-la.īñ hai koī
kuchh jo samjhā hai to ham-zulf ke behtar samjhā
mujh ko begam kā satāyā huā shauhar samjhā
apne hālāt pe tum ġhaur zarā kar lo agar
jald khul jā.egī phir saarī haqīqat tum par
maiñ ne ugne na diyā zehn meñ nafrat kā shajar
tum pe Daalī hai sadā maiñ ne mohabbat kī nazar
kah ke sartāj tumheñ sar pe biThāyā maiñ ne
tum to beTe the faqat baap banāyā maiñ ne
maiñ ne sasurāl meñ har shaḳhs kī izzat kī hai
saas sasure nahīñ nandoñ kī bhī ḳhidmat kī hai
jeTh devar se jeThānī se mohabbat kī hai
maiñ ne din raat mashaqqat hī mashaqqat kī hai
phir bhī hoñToñ pe koī shikva gila kuchh bhī nahīñ
mere din raat kī mehnat kā sila kuchh bhī nahīñ
sub.h-dam bachchoñ ko tayyār karātī huuñ maiñ
nāshta sab ke liye roz banātī huuñ maiñ
baasī tum khāte nahīñ taaza pakātī huuñ maiñ
chhoḌne bachchoñ ko schōl bhī jaatī huuñ maiñ
maiñ ki insān huuñ insān nahīñ jin koī
merī taqdīr meñ chhuTTī kā nahīñ din koī
vo bhī din the ki dulhan ban ke maiñ jab aa.ī thī
saath meñ jiine kī marne kī qasam khaa.ī thī
pyaar ā.ankhoñ meñ thā āvāz meñ shahnā.ī thī
kabhī mahbūb tumhārī yahī harjā.ī thī
apne ghar ke liye ye hastī miTā dī maiñ ne
zindagī rāh-e-mohabbat meñ luTā dī maiñ ne
kis qadar tum pe girāñ ek faqat naarī hai
daal roTī jise denā bhī tumheñ bhārī hai
mujh se kab pyaar hai aulād tumheñ pyārī hai
tum hī kah do yahī ā.īn-e-vafādārī hai
ghar to biivī se hai biivī jo nahīñ ghar bhī nahīñ
ye double bed ye takiya nahīñ chādar bhī nahīñ
maiñ ne maanā ki vo pahlī sī javānī na rahī
har shab-e-vasl na.ī koī kahānī na rahī
qulzum-e-husn meñ pahlī sī ravānī na rahī
ab maiñ pahle kī tarah raat kī raanī na rahī
apnī aulād kī ḳhātir maiñ javāñ huuñ ab bhī
jis ke qadmoñ meñ hai jannat vahī maañ huuñ ab bhī
the jo ajdād tumhāre na thā un kā ye shi.ār
tum ho biivī se pareshān vo biivī pe nisār
tum kyā karte ho har vaqt ye jo tum bezār
tum ho guftār ke ġhāzī vo sarāpā kirdār
apne ajdād kā tum ko to koī paas nahīñ
ham to behis haiñ magar tum bhī to hassās nahīñ
nahīñ jin mardoñ ko parvā-e-nasheman tum ho
achchhī lagtī hai jise roz hī uljhan tum ho
ban ga.e apnī grihastī ke jo dushman tum ho
ho ke ġhairoñ pe fidā biivī se bad-zan tum ho
phir se ābād na.ī koī bhī vaadī kar lo
kisī kalbisnī se ab dūsrī shādī kar lo
aah jab dil se nikalti hai asar rakhti hai
gulshan-e-zist jalane ko sharar rakhti hai
top talwar na ye tegh-o-tabar rakhti hai
bint-e-hawwa ki tarah tir-e-nazar rakhti hai
itna pur-soz hua nala-e-saffak mera
kar gaya dil pe asar shikwa-e-bebak mera
ye kaha sun ke sasur ne ki kahin hai koi
sas chupke se ye bolin ki yahin hai koi
saliyan kahne lagin qurb-o-qarin hai koi
sale ye bole ki mardud-o-lain hai koi
kuchh jo samjha hai to ham-zulf ke behtar samjha
mujh ko begam ka sataya hua shauhar samjha
apne haalat pe tum ghaur zara kar lo agar
jald khul jaegi phir sari haqiqat tum par
main ne ugne na diya zehn mein nafrat ka shajar
tum pe Dali hai sada main ne mohabbat ki nazar
kah ke sartaj tumhein sar pe biThaya main ne
tum to beTe the faqat bap banaya main ne
main ne sasural mein har shaKHs ki izzat ki hai
sas sasure nahin nandon ki bhi KHidmat ki hai
jeTh dewar se jeThani se mohabbat ki hai
main ne din raat mashaqqat hi mashaqqat ki hai
phir bhi honTon pe koi shikwa gila kuchh bhi nahin
mere din raat ki mehnat ka sila kuchh bhi nahin
subh-dam bachchon ko tayyar karaati hun main
nashta sab ke liye roz banati hun main
basi tum khate nahin taza pakati hun main
chhoDne bachchon ko school bhi jati hun main
main ki insan hun insan nahin jin koi
meri taqdir mein chhuTTi ka nahin din koi
wo bhi din the ki dulhan ban ke main jab aai thi
sath mein jine ki marne ki qasam khai thi
pyar aaankhon mein tha aawaz mein shahnai thi
kabhi mahbub tumhaari yahi harjai thi
apne ghar ke liye ye hasti miTa di main ne
zindagi rah-e-mohabbat mein luTa di main ne
kis qadar tum pe giran ek faqat nari hai
dal roTi jise dena bhi tumhein bhaari hai
mujh se kab pyar hai aulad tumhein pyari hai
tum hi kah do yahi aain-e-wafadari hai
ghar to biwi se hai biwi jo nahin ghar bhi nahin
ye double bed ye takiya nahin chadar bhi nahin
main ne mana ki wo pahli si jawani na rahi
har shab-e-wasl nai koi kahani na rahi
qulzum-e-husn mein pahli si rawani na rahi
ab main pahle ki tarah raat ki rani na rahi
apni aulad ki KHatir main jawan hun ab bhi
jis ke qadmon mein hai jannat wahi man hun ab bhi
the jo ajdad tumhaare na tha un ka ye shiar
tum ho biwi se pareshan wo biwi pe nisar
tum kya karte ho har waqt ye jo tum bezar
tum ho guftar ke ghazi wo sarapa kirdar
apne ajdad ka tum ko to koi pas nahin
hum to behis hain magar tum bhi to hassas nahin
nahin jin mardon ko parwa-e-nasheman tum ho
achchhi lagti hai jise roz hi uljhan tum ho
ban gae apni grihasti ke jo dushman tum ho
ho ke ghairon pe fida biwi se bad-zan tum ho
phir se aabaad nai koi bhi wadi kar lo
kisi kalbisni se ab dusri shadi kar lo
- Book : Post Martum (Pg. 41)
- Author : Nashtar Amrohvi
- Publication : M.R. Publications (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.