jawahar-lal
usī se taaza huī rasm-e-nekī-o-ḳhūbī
usī ke dam se vatan par thā rahmatoñ kā nuzūl
alam uThā ke chalā thā vo amn-e-ālam kā
zamāne-bhar ke liye us ne rakkhā ek usuul
bharī thī zaat meñ us kī baḌī baḌī tāsīr
qubūl baat huī us kī ḳhud huā maqbūl
maqām us kā mashāhīr kī saf-e-avval
har ek harf pasandīda har suḳhan maqbūl
na gard-e-ġham se huā us kā qalb ālūda
na us ke chehre pe dekhī kabhī malāl kī dhuul
dayār-e-hind kā kirdār-sāz nek sarisht
vo rāhatoñ kā payambar vo nekiyoñ kā rasūl
fazā.eñ jis se mo.attar haiñ aur ambar-rez
mahak rahā hai vatan meñ vahī gulāb kā phuul
mizāj jis kā mohabbat thā aur shagufta dil
shi.ār jis kā sharāfat thā mustaqil ma.amūl
qadam pe us ke fidā dānish aur ilm-o-yaqīñ
hazār kahte haiñ insān ko zalūm-o-jahūl
mashām-e-jān-e-jahāñ mushk-bār hai jis se
har ek barg pe rañg-e-bahār hai jis se
jamāliyāt kā ghar kohsār hai jis se
subū-ba-dosh har ik bāda-ḳhvār hai jis se
karam hai sāqi-e-mai-ḳhāna kā bahut gul-rez
havā.eñ jis se mo.attar haiñ aur ambar-rez
mahak rahā hai vatan meñ vahī gulāb kā phuul
usi se taza hui rasm-e-neki-o-KHubi
usi ke dam se watan par tha rahmaton ka nuzul
alam uTha ke chala tha wo amn-e-alam ka
zamane-bhar ke liye us ne rakkha ek usul
bhari thi zat mein us ki baDi baDi tasir
qubul baat hui us ki KHud hua maqbul
maqam us ka mashahir ki saf-e-awwal
har ek harf pasandida har suKHan maqbul
na gard-e-gham se hua us ka qalb aaluda
na us ke chehre pe dekhi kabhi malal ki dhul
dayar-e-hind ka kirdar-saz nek sarisht
wo rahaton ka payambar wo nekiyon ka rasul
fazaen jis se moattar hain aur ambar-rez
mahak raha hai watan mein wahi gulab ka phul
mizaj jis ka mohabbat tha aur shagufta dil
shiar jis ka sharafat tha mustaqil mamul
qadam pe us ke fida danish aur ilm-o-yaqin
hazar kahte hain insan ko zalum-o-jahul
masham-e-jaan-e-jahan mushk-bar hai jis se
har ek barg pe rang-e-bahaar hai jis se
jamaliyat ka ghar kohsar hai jis se
subu-ba-dosh har ek baada-KHwar hai jis se
karam hai saqi-e-mai-KHana ka bahut gul-rez
hawaen jis se moattar hain aur ambar-rez
mahak raha hai watan mein wahi gulab ka phul
- Book : Kulliyat-e-Arsh (Pg. 405)
- Author : Arsh Malsiyani
- Publication : Ali Imran Chaudhary
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.