jawani
javānī kyā hai tum se kyā kaheñ ham
javānī kā hai ab piirī meñ mātam
javānī sho'la-e-ātish-fishāñ hai
javānī ziist kā rāz-e-nihāñ hai
javānī hai javāb-e-ḳhanda-e-gul
javānī ehtimām-e-sāġhar-o-mul
javānī iztirāb-e-zindagī hai
javānī pech-o-tāb-e-zindagī hai
javānī zindagī kā ik tabassum
javānī zindagī kā ik tarannum
javānī matla’-e-nūr-e-sahar hai
javānī rashk-e-ḳhurshīd-o-qamar hai
javānī zindagī kā ḳhūn-e-tāza
javānī chehra-e-insāñ kā ġhāza
javānī kyā sharāb-e-zindagī hai
javānī iltihāb-e-zindagī hai
javānī garmī-e-bāzār-e-'ālam
javānī gesū-e-ḳhamdār-e-'ālam
javānī ḳhāmushī kī guftugū hai
javānī ḳhūb-sūrat ḳhūb-rū hai
javānī hai bahār-e-zindagānī
javānī lāla-zār-e-zindagānī
javānī meñ 'ajab ik dilkashī hai
javānī meñ 'ajab ik mah-vashī hai
javānī zindagī kā naqsh-e-avval
javānī ek shorish ek halchal
javānī sāya-e-bāl-e-humā hai
javānī meñ jahāñ bhī zer-e-pā hai
javānī jaise paanī kī ravānī
javānī meñ har ik ġham paanī paanī
javānī meñ nihāñ ik bāñkpan hai
javānī zindagānī kī dulhan hai
javānī ibtidā-e-zauq-e-parvāz
javānī intihā-e-shauq-e-parvāz
javānī ek harf-e-dil-nashīñ hai
javānī ziist kā tāj-o-nagīñ hai
javānī zindagānī kā hai dam-ḳham
javānī tāqat-e-sohrāb-o-rustam
javānī āsmān-e-zindagī hai
javānī hī nishān-e-zindagī hai
javānī kohkan kā zor-e-bāzū
javānī ek afsūñ ek jaadū
javānī joshish-e-kirdār-e-paiham
javānī garmī-e-raftār-e-paiham
javānī maḳhzan-e-harf-o-hikāyāt
javānī markaz-e-kashf-o-karāmāt
javānī chashma-e-tasnīm-o-kausar
javānī āb-e-rahmat kā samundar
javānī laġhzish-e-mastāna-e-'ishq
javānī bāzī-e-tiflāna-e-'ishq
javānī dāstān-e-'qais-o-lailā'
javānī qissa-e-yūsuf-zuleḳhā
javānī kyā hai barq-e-tūr goyā
javānī kyā jamāl-e-hūr goyā
javānī sozish-e-roz-e-qayāmat
javānī ek hiddat ik harārat
javānī ḳhud-sitā.ī ḳhud-numā.ī
javānī jang-jūī kaj-adā.ī
javānī zindagī kā zamzama hai
javānī zindagī kā tantana hai
magar ab zindagī ko saath le kar
javānī jā chukī piirī ko de kar
javānī ko na pūchho ab kahāñ hai
javānī sham'-e-kushta kā dhuāñ hai
jawani kya hai tum se kya kahen hum
jawani ka hai ab piri mein matam
jawani sho'la-e-atish-fishan hai
jawani zist ka raaz-e-nihan hai
jawani hai jawab-e-KHanda-e-gul
jawani ehtimam-e-saghar-o-mul
jawani iztirab-e-zindagi hai
jawani pech-o-tab-e-zindagi hai
jawani zindagi ka ek tabassum
jawani zindagi ka ek tarannum
jawani matla’-e-nur-e-sahar hai
jawani rashk-e-KHurshid-o-qamar hai
jawani zindagi ka KHun-e-taza
jawani chehra-e-insan ka ghaza
jawani kya sharab-e-zindagi hai
jawani iltihab-e-zindagi hai
jawani garmi-e-bazar-e-'alam
jawani gesu-e-KHamdar-e-'alam
jawani KHamushi ki guftugu hai
jawani KHub-surat KHub-ru hai
jawani hai bahaar-e-zindagani
jawani lala-zar-e-zindagani
jawani mein 'ajab ek dilkashi hai
jawani mein 'ajab ek mah-washi hai
jawani zindagi ka naqsh-e-awwal
jawani ek shorish ek halchal
jawani saya-e-baal-e-huma hai
jawani mein jahan bhi zer-e-pa hai
jawani jaise pani ki rawani
jawani mein har ek gham pani pani
jawani mein nihan ek bankpan hai
jawani zindagani ki dulhan hai
jawani ibtida-e-zauq-e-parwaz
jawani intiha-e-shauq-e-parwaz
jawani ek harf-e-dil-nashin hai
jawani zist ka taj-o-nagin hai
jawani zindagani ka hai dam-KHam
jawani taqat-e-sohrab-o-rustam
jawani aasman-e-zindagi hai
jawani hi nishan-e-zindagi hai
jawani kohkan ka zor-e-bazu
jawani ek afsun ek jadu
jawani joshish-e-kirdar-e-paiham
jawani garmi-e-raftar-e-paiham
jawani maKHzan-e-harf-o-hikayat
jawani markaz-e-kashf-o-karamat
jawani chashma-e-tasnim-o-kausar
jawani aab-e-rahmat ka samundar
jawani laghzish-e-mastana-e-'ishq
jawani bazi-e-tiflana-e-'ishq
jawani dastan-e-'qais-o-laila'
jawani qissa-e-yusuf-zuleKHa
jawani kya hai barq-e-tur goya
jawani kya jamal-e-hur goya
jawani sozish-e-roz-e-qayamat
jawani ek hiddat ek hararat
jawani KHud-sitai KHud-numai
jawani jang-jui kaj-adai
jawani zindagi ka zamzama hai
jawani zindagi ka tantana hai
magar ab zindagi ko sath le kar
jawani ja chuki piri ko de kar
jawani ko na puchho ab kahan hai
jawani sham'-e-kushta ka dhuan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.