jawani ki kahani
na chheḌ ai dil javānī kī kahānī
kisī kī dil-sitānī kī kahānī
vo soz-e-zindagī-afroz kā zikr
vo dard-e-jāvedānī kī kahānī
vo dukh kī jāgtī rātoñ kā qissa
vo ashkoñ kī ravānī kī kahānī
bahāreñ mastiyoñ kī dāstāneñ
ḳhumārīñ sargirānī kī kahānī
masarrat-āshnā ġham kā fasāna
ġham-āgīñ shādmānī kī kahānī
vo hoñToñ se lage jāmoñ kā qissa
vo ātish-mauj paanī kī kahānī
mirī ā.ankhoñ meñ aañsū jhuum aa.e
na chheḌ ai dil javānī kī kahānī
na chheD ai dil jawani ki kahani
kisi ki dil-sitani ki kahani
wo soz-e-zindagi-afroz ka zikr
wo dard-e-jawedani ki kahani
wo dukh ki jagti raaton ka qissa
wo ashkon ki rawani ki kahani
bahaaren mastiyon ki dastanen
KHumarin sargirani ki kahani
masarrat-ashna gham ka fasana
gham-agin shadmani ki kahani
wo honTon se lage jamon ka qissa
wo aatish-mauj pani ki kahani
meri aaankhon mein aansu jhum aae
na chheD ai dil jawani ki kahani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.