tū ne dekhā hai use
jaate hue arz-e-hijāz
kitnā mauzūñ thā javāñ-qadd-e-darāz
dil meñ khubā jaatā hai
tū ne chāhā hai use
misr abul-haul jamāl
kitne mardāna the us ke ḳhad-o-ḳhāl
dard baḌhā jaatā hai
tū ne paayā hai use
sham-e-shabistān-e-france
kis qadar garm thā us kā har saañs
jism jalā jaatā hai
tū ne rauñdā hai use
jañg luTā merā suhāg
mādar-e-gītī mire vāste jaag
vaqt uḌā jaatā hai
tu ne dekha hai use
jate hue arz-e-hijaz
kitna mauzun tha jawan-qadd-e-daraaz
dil mein khuba jata hai
tu ne chaha hai use
misr abul-haul jamal
kitne mardana the us ke KHad-o-KHal
dard baDha jata hai
tu ne paya hai use
sham-e-shabistan-e-france
kis qadar garm tha us ka har sans
jism jala jata hai
tu ne raunda hai use
jang luTa mera suhag
madar-e-giti mere waste jag
waqt uDa jata hai
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 239)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.