jawani
ye bāteñ haiñ javānī kī kahānī hai
javānī hai javānī meñ
ki quvvat bāzuoñ meñ hai
vahī hai umr jo aksar
sabab bantī hai jur.at kā
va shohrat kā
ye bāteñ haiñ javānī kī kahānī hai
javānī kī banā kar teġh
jis ko shahsavāroñ ne
akhāḌe zulm-o-zillat ke
sabhī lashkar zamīñ par se
samundar se
ye bāteñ haiñ javānī kī kahānī hai
magar daur-e-javānī ye
bahār-e-zindagī ban kar
nahīñ aayā mere ghar meñ
rahā rūkhā sahn merā
zehn merā
ye bāteñ haiñ javānī kī kahānī hai
yahāñ kuchh uljhaneñ thī yuuñ
zehn kā rog ban kar ke
jinhoñ ne mujh ko khāyā hai
jalāyā hai mujhe har din
ghaḌī gin gin
ye bāteñ haiñ javānī kī kahānī hai
kisī nazdīk vaale ne
fareb aisā diyā ki bas
yaqīñ merā sabhī jag se
uThā bilkul uThā yak-dam
rahā bas ġham
ye bāteñ haiñ javānī kī kahānī hai
parinda huuñ nahīñ haiñ par
haiñ talvāreñ miyānoñ meñ
nahīñ jaatā huuñ jañgoñ meñ
kisī ghar meñ kisī dil meñ
na mahfil meñ
ye bāteñ haiñ javānī kī kahānī hai
maiñ badbaḳhtoñ kā vāris huuñ
nianDerthal se le kar ke
ye homo-sapien kitne
jale yūñhī kahānī meñ
javānī meñ
ye baaten hain jawani ki kahani hai
jawani hai jawani mein
ki quwwat bazuon mein hai
wahi hai umr jo aksar
sabab banti hai jurat ka
wa shohrat ka
ye baaten hain jawani ki kahani hai
jawani ki bana kar tegh
jis ko shahsawaron ne
akhaDe zulm-o-zillat ke
sabhi lashkar zamin par se
samundar se
ye baaten hain jawani ki kahani hai
magar daur-e-jawani ye
bahaar-e-zindagi ban kar
nahin aaya mere ghar mein
raha rukha sahn mera
zehn mera
ye baaten hain jawani ki kahani hai
yahan kuchh uljhanen thi yun
zehn ka rog ban kar ke
jinhon ne mujh ko khaya hai
jalaya hai mujhe har din
ghaDi gin gin
ye baaten hain jawani ki kahani hai
kisi nazdik wale ne
fareb aisa diya ki bas
yaqin mera sabhi jag se
uTha bilkul uTha yak-dam
raha bas gham
ye baaten hain jawani ki kahani hai
parinda hun nahin hain par
hain talwaren miyanon mein
nahin jata hun jangon mein
kisi ghar mein kisi dil mein
na mahfil mein
ye baaten hain jawani ki kahani hai
main badbaKHton ka waris hun
nianDerthal se le kar ke
ye homo-sapien kitne
jale yunhi kahani mein
jawani mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.