jawaz
pyāre bachcho patā hai ḳhudā ne tumheñ kyuuñ banāyā hai
is liye ki tum vaj.h be-vaj.h muskurāo
aur uljhanoñ aur bakheḌoñ meñ paḌe maañ baap ko muskurāne par majbūr kar do
pyāre laḌko patā hai ḳhudā ne tumheñ kyuuñ banāyā hai
is liye ki tum har har us muhim meñ be-ḳhatar kuud paḌo jo baḌe sar karnā chāhte the
lekin buz-dilī yā ḳhauf kī vaj.h se na kar sake
pyārī laḌkiyo patā hai ḳhudā ne tumheñ kyuuñ banāyā hai
is liye ki tum zindagī kā dāman husn-e-do-ālam se bhar do
aur vīrānoñ meñ bhī qadam rakho to vahāñ chupke se bahār aa jaa.e
pyārī aurto patā hai ḳhudā ne tumheñ kyuuñ banāyā hai
is liye ki tum mohabbat ke jaadū se zamīn ke siine ko paak kar do
nafrat se nifāq se nā-umīdī hai
pyāre mardo patā hai ḳhudā ne tumheñ kyuuñ banāyā hai
is liye ki tum hāthoñ meñ haath Daal kar aur saroñ se sar joḌ kar hifāzat karo
amn kī āzādī kī insāf kī
pyāre buzurgo patā hai ḳhudā ne tumheñ kyuuñ banāyā hai
is liye ki tum kaaT sako jo tum ne boyā thā
aur aane vaalī nasloñ ko muñh bhar ke batā sako ki unheñ kyā bonā chāhiye
pyare bachcho pata hai KHuda ne tumhein kyun banaya hai
is liye ki tum wajh be-wajh muskurao
aur uljhanon aur bakheDon mein paDe man bap ko muskurane par majbur kar do
pyare laDko pata hai KHuda ne tumhein kyun banaya hai
is liye ki tum har har us muhim mein be-KHatar kud paDo jo baDe sar karna chahte the
lekin buz-dili ya KHauf ki wajh se na kar sake
pyari laDkiyo pata hai KHuda ne tumhein kyun banaya hai
is liye ki tum zindagi ka daman husn-e-do-alam se bhar do
aur viranon mein bhi qadam rakho to wahan chupke se bahaar aa jae
pyari aurto pata hai KHuda ne tumhein kyun banaya hai
is liye ki tum mohabbat ke jadu se zamin ke sine ko pak kar do
nafrat se nifaq se na-umidi hai
pyare mardo pata hai KHuda ne tumhein kyun banaya hai
is liye ki tum hathon mein hath Dal kar aur saron se sar joD kar hifazat karo
amn ki aazadi ki insaf ki
pyare buzurgo pata hai KHuda ne tumhein kyun banaya hai
is liye ki tum kaT sako jo tum ne boya tha
aur aane wali naslon ko munh bhar ke bata sako ki unhen kya bona chahiye
- Book : din kaa phool (Pg. 171)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.