jazb-e-ghairat
Interesting Fact
Syed Hamid Sahab, Vice-Chancellor Muslim University, Aligarh
vafā kā zauq diyā hai tirī mohabbat ne
diloñ ko fat.h kiyā jazba-e-sharāfat ne
tirī hayā se taqaddus hai ādamiyat kā
kiyā hai tujh ko sar-afrāz jazb-e-ġhairat ne
chaman meñ jis se hai izn-e-shaguft-e-ġhuncha-o-gul
gudāz qalb vo baḳhshā hai tujh ko qudrat ne
bahut hī kam haiñ vo shā.ista-e-nazar jin ko
ḳhirāj-e-shauq diyā zindagī kī azmat ne
har ek be-kas-o-mazlūm kī himāyat kā
tujhe shu.ūr diyā hai ḳhudā kī rahmat ne
faroġh-e-bazm-e-suḳhan terī sarparastī se
adab shanās kiyā hai tirī aqīdat ne
shaguftagī dil-e-barbād ko atā kī hai
tire ḳhayāl tire yaad kī latāfat ne
wafa ka zauq diya hai teri mohabbat ne
dilon ko fath kiya jazba-e-sharafat ne
teri haya se taqaddus hai aadamiyat ka
kiya hai tujh ko sar-afraaz jazb-e-ghairat ne
chaman mein jis se hai izn-e-shaguft-e-ghuncha-o-gul
gudaz qalb wo baKHsha hai tujh ko qudrat ne
bahut hi kam hain wo shaista-e-nazar jin ko
KHiraj-e-shauq diya zindagi ki azmat ne
har ek be-kas-o-mazlum ki himayat ka
tujhe shuur diya hai KHuda ki rahmat ne
farogh-e-bazm-e-suKHan teri sarparasti se
adab shanas kiya hai teri aqidat ne
shaguftagi dil-e-barbaad ko ata ki hai
tere KHayal tere yaad ki latafat ne
- Book : Karwan-e-azadi (Pg. 186)
- Author : Masood Akhtar Jamal
- Publication : Basmah Khatoon (1982)
- Edition : 1982
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.