jazba-e-be-karana
luTā do luTā do
ye afkār-o-anvār kā
nīm-ḳhufta ḳhazāna
umaDte simaTte
talātum se Dhālo
koī dard-āgīñ fasāna
makāñ lā-makāñ hai
zamāñ be-karāñ hai
nihāñ hai
isī mehvar-e-ārzū meñ
tumhāre ḳhad-o-ḳhāl kā
aks-e-mauhūm
parvāz kā jazba-e-be-karāna
ghanī aur be-nūr rāhoñ meñ
banāogī kyā āshiyāna
luTā do luñDhā do
bachī hai jo ab jaam meñ
ye sharāb-e-shabāna
ki anjām-e-hastī
fanā ke samundar meñ hai
Duub jaanā
luTa do luTa do
ye afkar-o-anwar ka
nim-KHufta KHazana
umaDte simaTte
talatum se Dhaalo
koi dard-agin fasana
makan la-makan hai
zaman be-karan hai
nihan hai
isi mehwar-e-arzu mein
tumhaare KHad-o-KHal ka
aks-e-mauhum
parwaz ka jazba-e-be-karana
ghani aur be-nur rahon mein
banaogi kya aashiyana
luTa do lunDha do
bachi hai jo ab jam mein
ye sharab-e-shabana
ki anjam-e-hasti
fana ke samundar mein hai
Dub jaana
- Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 501)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.