jeb kaTne ke baad
mire kurte kī būḌhī jeb se kal
tumhārī yaad!
chupke se nikal kar
saḌak ke shor-o-ġhul meñ kho ga.ī hai
baḌī bastī hai
kis ko fikr itnī!
ki kis kholī meñ kab se tīrgī hai
yahāñ
har ek ko apnī paḌī hai
mere kurte ki buDhi jeb se kal
tumhaari yaad!
chupke se nikal kar
saDak ke shor-o-ghul mein kho gai hai
baDi basti hai
kis ko fikr itni!
ki kis kholi mein kab se tirgi hai
yahan
har ek ko apni paDi hai
- Book : Shaher Men Gaon (Pg. 93)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.