jhil Dal
desī aur bidesī aa kar
kheleñ kūdeñ gaa.eñ Dal par
jal meñ is ke naav chalā.eñ
phuul kañval ke toḌ ke laa.eñ
lahreñ is kī sundar sundar
phuul khile haiñ is ke taT par
paanī is kā ujjal nirmal
nikhrā suthrā mīThā shītal
chāroñ or ik phulvārī hai
hariyālī hī hariyālī hai
būḌhe bachche aur nar-nārī
sab ko lagtī hai ye pyārī
darshan karne duniyā aa.e
sab ke man ko ye bahlā.e
desi aur bidesi aa kar
khelen kuden gaen Dal par
jal mein is ke naw chalaen
phul kanwal ke toD ke laen
lahren is ki sundar sundar
phul khile hain is ke taT par
pani is ka ujjal nirmal
nikhra suthra miTha shital
chaaron or ek phulwari hai
hariyali hi hariyali hai
buDhe bachche aur nar-nari
sab ko lagti hai ye pyari
darshan karne duniya aae
sab ke man ko ye bahlae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.