jhil kinare
jhiil kināre rahne vaalī
motī jaise chehre vaalī
tum ko merī ḳhabar nahīñ hai
ek hamārā shahar nahīñ hai
gunjā.ish bhī nahīñ hai koī
kabhī mileñge ham do raahī
ya.anī duur ke Dhol hunūz
ik duuje se haiñ mahfūz
ishq ki ḳhātir bilkul Thiik
kabhī na ā.eñge nazdīk
use suhūlat jaan ke maiñ ne
dil vaalī ho maan ke maiñ ne
apnī taraf se binā ijāzat
shurūa bhī kar dī tum se mohabbat
aao dekho jhiil kinārā
khaḌā huuñ maiñ ummīd kā maarā
jhil kinare rahne wali
moti jaise chehre wali
tum ko meri KHabar nahin hai
ek hamara shahar nahin hai
gunjaish bhi nahin hai koi
kabhi milenge hum do rahi
yani dur ke Dhol hunuz
ek duje se hain mahfuz
ishq ki KHatir bilkul Thik
kabhi na aaenge nazdik
use suhulat jaan ke main ne
dil wali ho man ke main ne
apni taraf se bina ijazat
shurua bhi kar di tum se mohabbat
aao dekho jhil kinara
khaDa hun main ummid ka mara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.