jhula
aayā sāvan kā mahīna nazar aayā jhūlā
dil ko bhāyā mirī āñkhoñ meñ samāyā jhūlā
saal bhar rah ke bahishtoñ kī fazā meñ mehmāñ
abr kī god meñ baiThā huā aayā jhūlā
cholī-dāman kā sā hai saath ghaTā kā is kā
is taraf aa.ī ghaTā us taraf aayā jhūlā
rut hai jhūle kī na kyoñ aaj ḳhudā.ī jhūle
nannhī kaliyoñ ko havāoñ ne jhulāyā jhūlā
peñg baḌhne lagī āñchal ko ghaTā ke chhūne
baaġh meñ sakhiyoñ ne is tarah jhulāyā jhūlā
jhūmtī aatī haiñ mastāna ghaTā.eñ kaisī
DhūñD kar hai inheñ kis des se laayā jhūlā
giit sun sun ke ghaTā.eñ bhī bahak uThī haiñ
mil ke sakhiyoñ ne kuchh is dhuum se gaayā jhūlā
phuul hilte haiñ idhar shāḳh lachaktī hai udhar
yā bahāroñ ko hai qudrat ne jhulāyā jhūlā
duur pardes meñ ham kis ko jhulā.eñ 'aḳhtar'
hasrat-o-yās kā paiġhām hai laayā jhūlā
aaya sawan ka mahina nazar aaya jhula
dil ko bhaya meri aankhon mein samaya jhula
sal bhar rah ke bahishton ki faza mein mehman
abr ki god mein baiTha hua aaya jhula
choli-daman ka sa hai sath ghaTa ka is ka
is taraf aai ghaTa us taraf aaya jhula
rut hai jhule ki na kyon aaj KHudai jhule
nannhi kaliyon ko hawaon ne jhulaya jhula
peng baDhne lagi aanchal ko ghaTa ke chhune
bagh mein sakhiyon ne is tarah jhulaya jhula
jhumti aati hain mastana ghaTaen kaisi
DhunD kar hai inhen kis des se laya jhula
git sun sun ke ghaTaen bhi bahak uThi hain
mil ke sakhiyon ne kuchh is dhum se gaya jhula
phul hilte hain idhar shaKH lachakti hai udhar
ya bahaaron ko hai qudrat ne jhulaya jhula
dur pardes mein hum kis ko jhulaen 'aKHtar'
hasrat-o-yas ka paigham hai laya jhula
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.