jhulta saya
ye jhūltā saaya
saañp hai yā rassī
ye jānñe se pahle
kyā ye mānñā hogā
ke koī ek hai
aur ik nahīñ hai
kyā mānñā jānñe kī pahlī shart hai
aur jānñā mānñe kī mahz tasdīq-bhar hai
to use
jise jaanā nahīñ jaatā
maanā kaise jaa.e
ye jhulta saya
sanp hai ya rassi
ye jaanne se pahle
kya ye manna hoga
ke koi ek hai
aur ek nahin hai
kya manna jaanne ki pahli shart hai
aur jaanna manne ki mahz tasdiq-bhar hai
to use
jise jaana nahin jata
mana kaise jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.