jhumar
mujhe bhī aaj ik jhūmar pahannā hai
ummīdoñ kā na ḳhvāboñ aur umañgoñ kā
ki maiñ ne us kī laḌiyoñ meñ
hasīñ motī nahīñ Tāñke
ka.ī aañsū piro.e haiñ
mujhe is jāñ-fazā jhūmar ko
māthe pe sajānā hai
zamāne se chhupānā hai
nayā ik ghar basānā hai
bas itnā sā
mirī yādoñ kā
be-raunaq fasāna hai
mujhe jhūmar pahannā hai
mujhe bhi aaj ek jhumar pahanna hai
ummidon ka na KHwabon aur umangon ka
ki main ne us ki laDiyon mein
hasin moti nahin Tanke
kai aansu piroe hain
mujhe is jaan-faza jhumar ko
mathe pe sajaana hai
zamane se chhupana hai
naya ek ghar basana hai
bas itna sa
meri yaadon ka
be-raunaq fasana hai
mujhe jhumar pahanna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.