jhuT
apne saare savāloñ ko
tum yakjā kar lo phir se paḌh lo
mujhe yaqīñ hai
merā chehra saare hal tumheñ de degā
mujhe ḳhabar hai
mire yaqīñ ko apne yaqīñ meñ
rad kar dogī
sach kar logī
tum bhī sach ho
maiñ bhī sach huuñ suulī sauñpā
galiyoñ chakkhā dhuul chaḌhāyā
āḳhir kab tak
apne yaqīñ ko mere yaqīñ meñ oḌhnā sīkho
varna
tum par sach har lamhe hañstā rahegā
merī sūrat
Dastā rahegā
apne sare sawalon ko
tum yakja kar lo phir se paDh lo
mujhe yaqin hai
mera chehra sare hal tumhein de dega
mujhe KHabar hai
mere yaqin ko apne yaqin mein
rad kar dogi
sach kar logi
tum bhi sach ho
main bhi sach hun suli saunpa
galiyon chakkha dhul chaDhaya
aaKHir kab tak
apne yaqin ko mere yaqin mein oDhna sikho
warna
tum par sach har lamhe hansta rahega
meri surat
Dasta rahega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.