jhuT aur sach ke tamashe
zarā dekh mere muqaddar kī shāḳhoñ pe
jitne shagūfe the
sab jal ga.e haiñ
mire raḳht-e-jāñ par
bahāroñ kā zāmin
koī gul nahīñ hai
zarā yaad kar jab
tirī ḳhush-bayānī ne
jhuuT aur sach ke tamāshe meñ
merī zabāñ kaaT dī thī
vo din shauq-e-parvāz meñ jab
tire bāzuoñ ne
mirī shāḳh-e-jāñ kaaT dī thī
tire marmarīñ qasr ke sañg-e-buniyād meñ
merā ḳhuuñ hai
tire ba.ad barsoñ
tamāzat meñ chal chal ke mere qadam
thak ga.e haiñ
jabhī yaḳh-kade meñ bhī to be-sukūñ hai
masīhā.ī ke zo.am meñ jitne nashtar
tire haath se
merī rag rag meñ utre
sabhī par tirā ḳhuuñ mire ḳhuuñ
ke dhabboñ se lipTā huā hai
mirī qat.a-e-jāñ hī se terī numū hai
magar ye bhī sach hai
tirī aabrū hī mirī aabrū hai
tirā haal merī nazar se ayaañ hai
ki tū merī jaañ hai
zara dekh mere muqaddar ki shaKHon pe
jitne shagufe the
sab jal gae hain
mere raKHt-e-jaan par
bahaaron ka zamin
koi gul nahin hai
zara yaad kar jab
teri KHush-bayani ne
jhuT aur sach ke tamashe mein
meri zaban kaT di thi
wo din shauq-e-parwaz mein jab
tere bazuon ne
meri shaKH-e-jaan kaT di thi
tere marmarin qasr ke sang-e-buniyaad mein
mera KHun hai
tere baad barson
tamazat mein chal chal ke mere qadam
thak gae hain
jabhi yaKH-kade mein bhi to be-sukun hai
masihai ke zoam mein jitne nashtar
tere hath se
meri rag rag mein utre
sabhi par tera KHun mere KHun
ke dhabbon se lipTa hua hai
meri qata-e-jaan hi se teri numu hai
magar ye bhi sach hai
teri aabru hi meri aabru hai
tera haal meri nazar se ayan hai
ki tu meri jaan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.