jhuT ke panw
jhuuT ke paañv nahīñ hote
sirf
paañv hī nahīñ
koī bhī uzv nahīñ hotā
sivā.e zabān ke
jo baḌī DhiTā.ī
be-sharmī aur be-hayā.ī se
chaltī hai
aivān-e-bālā ke andar aur bāhar
manchoñ meñ
yā T.v ke muzākaroñ
aḳhbār kī surḳhiyoñ ....aur
interviewoñ meñ
taaki ma.asūm
amn-pasand
sāda-lauh insānoñ ko
varġhalā kar
halākat meñ Daal diyā jaa.e!
jhuT ke panw nahin hote
sirf
panw hi nahin
koi bhi uzw nahin hota
siwae zaban ke
jo baDi DhiTai
be-sharmi aur be-hayai se
chalti hai
aiwan-e-baala ke andar aur bahar
manchon mein
ya Tw ke muzakaron
aKHbar ki surKHiyon aur
interwiewon mein
taki masum
amn-pasand
sada-lauh insanon ko
warghala kar
halakat mein Dal diya jae!
- Book : Khushk Tahni Zard Pattay (Pg. 81)
- Author : Yousuf Taqi
- Publication : Yousuf Taqi (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.