jhuT
ye chhan-chhan kī āvāz
jo tum sun rahe ho
merī paa.el kī nahīñ hai
ye āvāz hai
un ma.asūm sapnoñ kī
jo haqīqat ke farsh par
har pal
ghuñghruoñ kī mānind TuuT kar
bikhar rahe haiñ
ye khan-khanāhaT kī āvāz
jo merī chūḌiyoñ sī jaan paḌtī hai
ye āvāz hai
un saḳht beḌiyoñ kī
jo mere hāthoñ ko
tumhāre hāthoñ kī or baḌhne se
rok rahī haiñ
merī āvāz meñ jhalaktī ḳhushī
aur hoñToñ par sajī muskurāhaT
sirf ek yahī jhuuT
tumheñ ḳhush dekhne ke liye
ye lab baar baar
har baar dohrāte haiñ
magar
sab kuchh jānte hue bhī ye dil
kuchh bhī mānñe ko tayyār nahīñ
ye ab bhī chāhtā hai
in
bikhre sapnoñ ko
apnī palkoñ se sameT kar
tumhārī āñkhoñ meñ sajānā
in
saḳht beḌiyoñ ke bandhan meñ
tumheñ apne saath bāñdh lenā
aur ek baar phir
in jhūTe hoñToñ se nahīñ
sachche dil se
dil khol kar
muskurānā
ye chhan-chhan ki aawaz
jo tum sun rahe ho
meri pael ki nahin hai
ye aawaz hai
un masum sapnon ki
jo haqiqat ke farsh par
har pal
ghunghruon ki manind TuT kar
bikhar rahe hain
ye khan-khanahaT ki aawaz
jo meri chuDiyon si jaan paDti hai
ye aawaz hai
un saKHt beDiyon ki
jo mere hathon ko
tumhaare hathon ki or baDhne se
rok rahi hain
meri aawaz mein jhalakti KHushi
aur honTon par saji muskurahaT
sirf ek yahi jhuT
tumhein KHush dekhne ke liye
ye lab bar bar
har bar dohraate hain
magar
sab kuchh jaante hue bhi ye dil
kuchh bhi manne ko tayyar nahin
ye ab bhi chahta hai
in
bikhre sapnon ko
apni palkon se sameT kar
tumhaari aankhon mein sajaana
in
saKHt beDiyon ke bandhan mein
tumhein apne sath bandh lena
aur ek bar phir
in jhuTe honTon se nahin
sachche dil se
dil khol kar
muskurana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.