jhuTi mohabbat
tumhārā maiñ huuñ mire tum ho achchhe jumle haiñ
magar ye baat bahut duur hai sadāqat se
kahīñ se tum ho adhūre kahīñ se ḳhālī maiñ
tum apne taur mujhe istimāl karte ho
maiñ apne taur tumheñ istimāl kartā huuñ
ye zindagī hai yahāñ ghaat meñ hai har koī
sab apnī apnī zarūrat meñ chhup ke baiThe haiñ
kahīñ nahīñ hai mohabbat fareb hai sab kuchh
magar ye jhūTī mohabbat bahut zarūrī hai
havā meñ jaise harārat bahut zarūrī hai
tumhaara main hun mere tum ho achchhe jumle hain
magar ye baat bahut dur hai sadaqat se
kahin se tum ho adhure kahin se KHali main
tum apne taur mujhe istimal karte ho
main apne taur tumhein istimal karta hun
ye zindagi hai yahan ghat mein hai har koi
sab apni apni zarurat mein chhup ke baiThe hain
kahin nahin hai mohabbat fareb hai sab kuchh
magar ye jhuTi mohabbat bahut zaruri hai
hawa mein jaise hararat bahut zaruri hai
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 123)
- Author : Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.