Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jibrail-o-iblis

Allama Iqbal

jibrail-o-iblis

Allama Iqbal

MORE BYAllama Iqbal

    Interesting Fact

    (Bal-e-Jibril)

    jibra.īl

    hamdam-e-dairīna kaisā hai jahān-e-rañg-o-bū

    iblīs

    soz-o-sāz o dard o daaġh o justujū o aarzū

    jibra.īl

    har ghaḌī aflāk par rahtī hai terī guftugū

    kyā nahīñ mumkin ki terā chaak dāman ho rafū

    iblīs

    aah ai jibrīl vāqif nahīñ is raaz se

    kar gayā sarmast mujh ko TuuT kar merā subū

    ab yahāñ merī guzar mumkin nahīñ mumkin nahīñ

    kis qadar ḳhāmosh hai ye ālam-e-be-Kāḳh-o-kū

    jis naumīdī se ho soz-e-darūn-e-kā.enāt

    us ke haq meñ taqnatū achchhā hai lā-taqnatū

    jibra.īl

    kho diye inkār se ne maqāmāt-e-buland

    chashm-e-yazdāñ meñ farishtoñ rahī kyā aabrū

    iblīs

    hai mirī jur.at se musht-e-ḳhāk meñ zauq-e-numū

    mere fitne jāma-e-aql-o-ḳhirad tār-o-pū

    dekhtā hai faqat sāhil se razm-e-ḳhair-o-shar

    kaun tūfāñ ke tamāñche khā rahā hai maiñ ki

    ḳhizr bhī be-dast-o-pā ilyās bhī be-dast-o-pā

    mere tūfāñ yam-ba-yam dariyā-ba-dariyā jū-ba-jū

    gar kabhī ḳhalvat mayassar ho to pūchh allāh se

    qissa-e-ādam ko rañgīñ kar gayā kis lahū

    maiñ khaTaktā huuñ dil-e-yazdāñ meñ kāñTe tarah

    faqat allāh-hū allāh-hū allāh-hū

    jibrail

    hamdam-e-dairina kaisa hai jahan-e-rang-o-bu

    iblis

    soz-o-saz o dard o dagh o justuju o aarzu

    jibrail

    har ghaDi aflak par rahti hai teri guftugu

    kya nahin mumkin ki tera chaak daman ho rafu

    iblis

    aah ai jibril tu waqif nahin is raaz se

    kar gaya sarmast mujh ko TuT kar mera subu

    ab yahan meri guzar mumkin nahin mumkin nahin

    kis qadar KHamosh hai ye aalam-e-be-KaKH-o-ku

    jis ki naumidi se ho soz-e-darun-e-kaenat

    us ke haq mein taqnatu achchha hai ya la-taqnatu

    jibrail

    kho diye inkar se tu ne maqamat-e-buland

    chashm-e-yazdan mein farishton ki rahi kya aabru

    iblis

    hai meri jurat se musht-e-KHak mein zauq-e-numu

    mere fitne jama-e-aql-o-KHirad ka tar-o-pu

    dekhta hai tu faqat sahil se razm-e-KHair-o-shar

    kaun tufan ke tamanche kha raha hai main ki tu

    KHizr bhi be-dast-o-pa ilyas bhi be-dast-o-pa

    mere tufan yam-ba-yam dariya-ba-dariya ju-ba-ju

    gar kabhi KHalwat mayassar ho to puchh allah se

    qissa-e-adam ko rangin kar gaya kis ka lahu

    main khaTakta hun dil-e-yazdan mein kanTe ki tarah

    tu faqat allah-hu allah-hu allah-hu

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Zulfiqar Ali Bukhari

    Zulfiqar Ali Bukhari

    Shamsur Rahman Faruqi

    Shamsur Rahman Faruqi

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    jibrail-o-iblis Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now