jidd-o-jahd
samay
merī shaḳhsiyat se
ḳhud-e'timādī kī parat
is tarah utaar rahā hai
jaise koī ḳhānsāmāñ
pyaaz ke chhilke utaar rahā ho
kal aaj aur kal ke sahrāoñ se
bagūloñ ke saath
an-dekhā sā koī vajūd nikaltā hai
aur merī mehnatoñ pe shab-ḳhūn maar detā hai
shāyad use pata nahīñ ki insān
jo ki havas kā pujārī hai
fitratan ek juārī hai
haar jaa.e yā jiit jaa.e
khel chhoḌ kar nahīñ uThtā
samay
meri shaKHsiyat se
KHud-e'timadi ki parat
is tarah utar raha hai
jaise koi KHansaman
pyaz ke chhilke utar raha ho
kal aaj aur kal ke sahraon se
bagulon ke sath
an-dekha sa koi wajud nikalta hai
aur meri mehnaton pe shab-KHun mar deta hai
shayad use pata nahin ki insan
jo ki hawas ka pujari hai
fitratan ek juari hai
haar jae ya jit jae
khel chhoD kar nahin uThta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.