kal kī yādeñ
masjideñ motī kī
qile la.al ke
marmar ke taaj
mūrateñ
mandir
kalīsā
yantr mantr
girtī dīvāreñ
chhateñ
saa.e meñ un ke dhuñdalke
dīmakeñ
jaale
ġhubār
āsmāñ chhūtī imārat buland
bār-e-dīgar bār-e-dīgar baar baar
sar uThāte hādsāt
shafqateñ
mehr-o-muravvat
zulm
be-mehrī
svārth
zindagī letī hī rahtī hai hamārā imtihān
inkishāf
ījād
afkār-o-ulūm
chahchahāte nāchte
bulbul-o-tā.ūs
ras kānoñ meñ
nuur āñkhoñ meñ
bharte gholte
zehn ko āñkhoñ ko
dast-o-pā ko apne
kholte
god meñ mādar-e-fitrat kī
vo ma.asūm tifl
kunmunātā
muskurātā
kheltā
jis kī ik ma.asūm
duzdīda nazar
zindagī ko
dilkashī se
husn se
bhar detī hai
DhūñD laate haiñ
añdherī raat meñ
raushnī
is gunāh-e-avvalīñ kī
nit na.ī
mansūba-dār
san.at-o-hirfat
fann-e-ta.amīr
tasḳhīr-e-jihāt
kal ki yaaden
masjiden moti ki
qile lal ke
marmar ke taj
muraten
mandir
kalisa
yantr mantr
girti diwaren
chhaten
sae mein un ke dhundalke
dimaken
jale
ghubar
aasman chhuti imarat buland
bar-e-digar bar-e-digar bar bar
sar uThate hadsat
shafqaten
mehr-o-murawwat
zulm
be-mehri
swarth
zindagi leti hi rahti hai hamara imtihan
inkishaf
ijad
afkar-o-ulum
chahchahate nachte
bulbul-o-taus
ras kanon mein
nur aankhon mein
bharte gholte
zehn ko aankhon ko
dast-o-pa ko apne
kholte
god mein madar-e-fitrat ki
wo masum tifl
kunmunata
muskuraata
khelta
jis ki ek masum
duzdida nazar
zindagi ko
dilkashi se
husn se
bhar deti hai
DhunD late hain
andheri raat mein
raushni
is gunah-e-awwalin ki
nit nai
mansuba-dar
sanat-o-hirfat
fann-e-tamir
tasKHir-e-jihat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.