jihat ki talash
yahāñ daraḳht ke uupar ugā huā hai daraḳht
zamīn tañg hai (jaise kabhī farāḳh na thii)
havā kā kaal paḌā hai, namī bhī aam nahīñ
samundaroñ ko bilo kar fazāoñ ko math kar
janam diye haiñ agar chand abr ke TukḌe
jhapaT liyā hai unheñ yuuñ darāz shāḳhoñ ne
ki nīm-jāñ tane ko zarā ḳhabar na huī
jaḌeñ bhī ḳhaak tale ek hī lagan meñ ravāñ
na tīrgī se mafar hai, na raushnī kā savāl
zamīñ meñ paañv dhañse haiñ fazā meñ haat buland
na.ī jihat kā lage ab daraḳht meñ paivand
yahan daraKHt ke upar uga hua hai daraKHt
zamin tang hai (jaise kabhi faraKH na thi)
hawa ka kal paDa hai, nami bhi aam nahin
samundaron ko bilo kar fazaon ko math kar
janam diye hain agar chand abr ke TukDe
jhapaT liya hai unhen yun daraaz shaKHon ne
ki nim-jaan tane ko zara KHabar na hui
jaDen bhi KHak tale ek hi lagan mein rawan
na tirgi se mafar hai, na raushni ka sawal
zamin mein panw dhanse hain faza mein hat buland
nai jihat ka lage ab daraKHt mein paiwand
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.