jiwan
devdās jī
lab kholo
ḳhāmosh filmoñ kā daur gayā
agar aap ne apnā
des bhes
aisā hī bhes
aisā hī rakhā
jaise tab thā
to suuī aage kī taraf
aur vaqt
pīchhe kī taraf
baḌhtā hī rahegā
devdās jī
āñkheñ kholo
vaqt ke saath saath
jo nayā sach sāmne aa.e
use jaan lo
phir maan lo
jis baat kā
hāzir se vāsta na ho
zikr chhoḌo
varna
tum aisā hī jiyoge
jaisā ab tak mare ho
dewdas ji
lab kholo
KHamosh filmon ka daur gaya
agar aap ne apna
des bhes
aisa hi bhes
aisa hi rakha
jaise tab tha
to sui aage ki taraf
aur waqt
pichhe ki taraf
baDhta hi rahega
dewdas ji
aankhen kholo
waqt ke sath sath
jo naya sach samne aae
use jaan lo
phir man lo
jis baat ka
hazir se wasta na ho
zikr chhoDo
warna
tum aisa hi jiyoge
jaisa ab tak mare ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.