jiwan hai wardan tirange jhanDe ka
gaao jai jai gaan tirañgā jhanDe kā
ūñchā rahe nishān tirañge jhanDe kā
jab jab ham ko dushman ne lalkārā hai
ham ne sau sau jaan se ḳhud ko maarā hai
jīvan hai vardān tirañge jhanDe kā
sapnoñ ko sach kī maalā pahnā.eñge
manzil manzil aage baḌhte jā.eñge
ham rakkheñge maan tirañge jhanDe kā
is kī miTTī ne ham ko mahkāyā hai
is kī chhāyā ne parvān chaḌhāyā hai
ham par hai ehsān tirañge jhanDe kā
sāthī aao haath baḌhāo yaar banū
yaar bano dukh-sukh ke sājhe-dār bano
hai jag meñ elaan tirañge jhanDe kā
ūñchā rahe nishān tirañge jhanDe kā
gaao jai jai gaan tirañge jhanDe kā
gao jai jai gan tiranga jhanDe ka
uncha rahe nishan tirange jhanDe ka
jab jab hum ko dushman ne lalkara hai
hum ne sau sau jaan se KHud ko mara hai
jiwan hai wardan tirange jhanDe ka
sapnon ko sach ki mala pahnaenge
manzil manzil aage baDhte jaenge
hum rakkhenge man tirange jhanDe ka
is ki miTTi ne hum ko mahkaya hai
is ki chhaya ne parwan chaDhaya hai
hum par hai ehsan tirange jhanDe ka
sathi aao hath baDhao yar banu
yar bano dukh-sukh ke sajhe-dar bano
hai jag mein elan tirange jhanDe ka
uncha rahe nishan tirange jhanDe ka
gao jai jai gan tirange jhanDe ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.