jiwan mein hariyali
Interesting Fact
With reference to the national tree planting campaign
ham peḌ lagā.eñge māhaul banā.eñge
peḌ lagā kar jīvan meñ ḳhush-hālī lā.eñge
ham peḌ lagā.eñge māhaul banā.eñge
is baḌhte pardūshan ko ham duur bhagā.eñge
ham peḌ lagā.eñge māhaul banā.eñge
kitnā sundar peḌoñ se mausam ho jaatā hai
garmī meñ temperature bhī kuchh kam ho jaatā hai
peḌ lagā kar ham sab ko garmī se bachā.eñge
ham peḌ lagā.eñge māhaul banā.eñge
carbon dioxide paudoñ kā bhojan hai
jo hai maut hamārī vo paudoñ kā jīvan hai
oxygen bhī ham sab in paudoñ se pā.eñge
ham peḌ lagā.eñge māhaul banā.eñge
peḌ hamārī dhartī ko kaTne se bachāte haiñ
peḌ hī registānoñ ko baḌhne se bachāte haiñ
peḌ lagā kar dhartī ko gahne pahnā.eñge
ham peḌ lagā.eñge māhaul banā.eñge
peḌ hamārī is dhartī par bārish laate haiñ
peḌ jahāñ hote haiñ amrit-jal barsāte haiñ
garmī ke mausam meñ ham bārish meñ nahā.eñge
ham peḌ lagā.eñge māhaul banā.eñge
phuul jaḌī buuTī aur phal paudoñ se milte haiñ
gehūñ dāleñ aur chāval paudoñ se milte haiñ
ham har chiiz zarūrat kī paudoñ se pā.eñge
ham peḌ lagā.eñge māhaul banā.eñge
tel davā.eñ aur masālhe in se milte haiñ
rang birange phuul chaman meñ in par khilte haiñ
ham apnī dhartī ko phūloñ se mahkā.eñge
ham peḌ lagā.eñge māhaul banā.eñge
jab dhartī par har jānib hariyālī chhā.egī
phir ye dhartī svarg se bhī sundar ho jā.egī
mor papīhā koyal bulbul mil kar gā.eñge
ham peḌ lagā.eñge māhaul banā.eñge
hum peD lagaenge mahaul banaenge
peD laga kar jiwan mein KHush-haali laenge
hum peD lagaenge mahaul banaenge
is baDhte pardushan ko hum dur bhagaenge
hum peD lagaenge mahaul banaenge
kitna sundar peDon se mausam ho jata hai
garmi mein temperature bhi kuchh kam ho jata hai
peD laga kar hum sab ko garmi se bachaenge
hum peD lagaenge mahaul banaenge
carbon dioxide paudon ka bhojan hai
jo hai maut hamari wo paudon ka jiwan hai
oxygen bhi hum sab in paudon se paenge
hum peD lagaenge mahaul banaenge
peD hamari dharti ko kaTne se bachate hain
peD hi registanon ko baDhne se bachate hain
peD laga kar dharti ko gahne pahnaenge
hum peD lagaenge mahaul banaenge
peD hamari is dharti par barish late hain
peD jahan hote hain amrit-jal barsate hain
garmi ke mausam mein hum barish mein nahaenge
hum peD lagaenge mahaul banaenge
phul jaDi buTi aur phal paudon se milte hain
gehun dalen aur chawal paudon se milte hain
hum har chiz zarurat ki paudon se paenge
hum peD lagaenge mahaul banaenge
tel dawaen aur masalhe in se milte hain
rang birange phul chaman mein in par khilte hain
hum apni dharti ko phulon se mahkaenge
hum peD lagaenge mahaul banaenge
jab dharti par har jaanib hariyali chhaegi
phir ye dharti swarg se bhi sundar ho jaegi
mor papiha koyal bulbul mil kar gaenge
hum peD lagaenge mahaul banaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.