jiwan-rut ka zard safar
jism
shikan-ālūd
thakan kī chādar oḌhe
raat ko chup kī
narm masahrī
par soyā hai
gum-sum hai
khoyā khoyā hai
niiñd ke malmal jaise
niile haale meñ
terī yādeñ
raqs kī sūrat
kho.e hue sundar
desoñ kā
qarya qarya ghuum rahī haiñ
jīvan ke sat-rang pahante
giit kī lai par
haule haule jhuum rahī haiñ
jīvan-rut ke zard safar meñ
āñkhoñ ke darvāzoñ se
dāḳhil hote dulhan jaise
kore ḳhvāb
tere paikar kī ḳhushbū
se ujlī ujlī bāteñ karte
resham haath
merī apnī gardan kī
ruuoñ se khel rahe haiñ
tanhā.ī ke bhor samoñ meñ
khulne vaalā
hijr kā mausam jhel rahe haiñ
sub.h jab hogī
TuuTe badan kī Thīkriyoñ ko
kun kā mālik joḌ ke
phir se sīdhā kar degā
haDDiyoñ ke guude meñ
ek na.e din ke jīvan kī
sabz ummīdeñ bhar bhar degā
yuuñ jīvan ke
godām meñ jaltī sāñsoñ kā
ek aur suhānā din
shaam kī chakkī meñ
daana daana ho kar pis jā.egā
aur jism yūñhī dhīre dhīre
ik roz shikan-ālūd thakan kī
chādar oḌhe
maran barat kī
narm masahrī par so jā.egā
jism
shikan-alud
thakan ki chadar oDhe
raat ko chup ki
narm masahri
par soya hai
gum-sum hai
khoya khoya hai
nind ke malmal jaise
nile haale mein
teri yaaden
raqs ki surat
khoe hue sundar
deson ka
qarya qarya ghum rahi hain
jiwan ke sat-rang pahante
git ki lai par
haule haule jhum rahi hain
jiwan-rut ke zard safar mein
aankhon ke darwazon se
daKHil hote dulhan jaise
kore KHwab
tere paikar ki KHushbu
se ujli ujli baaten karte
resham hath
meri apni gardan ki
ruon se khel rahe hain
tanhai ke bhor samon mein
khulne wala
hijr ka mausam jhel rahe hain
subh jab hogi
TuTe badan ki Thikriyon ko
kun ka malik joD ke
phir se sidha kar dega
haDDiyon ke gude mein
ek nae din ke jiwan ki
sabz ummiden bhar bhar dega
yun jiwan ke
godam mein jalti sanson ka
ek aur suhana din
sham ki chakki mein
dana dana ho kar pis jaega
aur jism yunhi dhire dhire
ek roz shikan-alud thakan ki
chadar oDhe
maran barat ki
narm masahri par so jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.