jis roz qaza aaegi
kis tarah aa.egī jis roz qazā aa.egī
shāyad is tarah ki jis taur kabhī avval-e-shab
be-talab pahle-pahal marhamat-e-bosa-e-lab
jis se khulne lageñ har samt tilismāt ke dar
aur kahīñ duur se anjān gulāboñ kī bahār
yak-ba-yak sīna-e-mahtāb ko taḌpāne lage
shāyad is tarah ki jis taur kabhī āḳhir-e-shab
nīm-vā kaliyoñ se sarsabz sahar
yak-ba-yak hujra-e-mahbūb meñ lahrāne lage
aur ḳhāmosh darīchoñ se ba-hañgām-e-rahīl
jhanjhanāte hue tāroñ kī sadā aane lage
kis tarah aa.egī jis roz qazā aa.egī
shāyad is tarah ki jis taur tah-e-nok-e-sināñ
koī rag vāhima-e-dard se chillāne lage
aur qazzāq-e-sināñ-dast kā dhundlā saaya
az-karāñ-tā-ba-karāñ dahr pe mañDlāne lage
kis tarah aa.egī jis roz qazā aa.egī
ḳhvāh qātil kī tarah aa.e ki mahbūb-sifat
dil se bas hogī yahī harf-e-vidā.a kī sūrat
lillāhil-hamd ba-anjām-e-dil-e-dil-zadagāñ
kalma-e-shukr ba-nām-e-lab-e-shīrīñ-dahanāñ
kis tarah aaegi jis roz qaza aaegi
shayad is tarah ki jis taur kabhi awwal-e-shab
be-talab pahle-pahal marhamat-e-bosa-e-lab
jis se khulne lagen har samt tilismat ke dar
aur kahin dur se anjaan gulabon ki bahaar
yak-ba-yak sina-e-mahtab ko taDpane lage
shayad is tarah ki jis taur kabhi aaKHir-e-shab
nim-wa kaliyon se sarsabz sahar
yak-ba-yak hujra-e-mahbub mein lahrane lage
aur KHamosh darichon se ba-hangam-e-rahil
jhanjhanate hue taron ki sada aane lage
kis tarah aaegi jis roz qaza aaegi
shayad is tarah ki jis taur tah-e-nok-e-sinan
koi rag wahima-e-dard se chillane lage
aur qazzaq-e-sinan-dast ka dhundla saya
az-karan-ta-ba-karan dahr pe manDlane lage
kis tarah aaegi jis roz qaza aaegi
KHwah qatil ki tarah aae ki mahbub-sifat
dil se bas hogi yahi harf-e-widaa ki surat
lillahil-hamd ba-anjam-e-dil-e-dil-zadagan
kalma-e-shukr ba-nam-e-lab-e-shirin-dahanan
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 514)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.