añdhere kamre meñ baiThā huuñ
ki bhūlī-bhaTkī koī kiran aa ke dekh paa.e
magar sadā se añdhere kamre kī rasm hai koī bhī kiran aa ke dekh paa.e
bhalā ye kyuuñ ho
koī kiran is ko dekh paa.e to us ghaḌī se
añdherā kamra añdherā nahīñ rahegā
vo TuuT kar tīrgī kā ik sail-e-be-karāñ ban ke bah uThegā
aur us ghaḌī se is ujāle kā koī maḳhzan bhī rok paa.e bhalā ye kyuuñ ho
hazār sāloñ ke fāsle se ye kah rahā huuñ
hazāroñ sāloñ ke fāsle se magar koī is ko sun rahā hai ye kaun jaane
siyāh bāloñ kī tīrgī meñ tumhārā māthā chamak rahā hai
tumhārī āñkhoñ meñ ik kiran naach naach kar mujh se kah rahī hai
ki mere hoñToñ meñ hai vo amrit
hazāroñ sāloñ ke fāsle se jo ris rahā hai
magar ye sab saal nuur ke saal to nahīñ tīrgī ke bhī saal ye nahīñ haiñ
ye saal to fāsle kī pechīda silvaTeñ haiñ
añdherā kamra añdherā kyuuñ hai
tumhāre bāloñ kī tīrgī maiñ nigāh gum hai
ye band juuḌā jo khul ke bikhre to phir kiran bhī sañvar ke nikhre
tumhārā malbūs ik sapīdī pe dhāriyoñ se sujhā rahā hai
añdhere kamre meñ jab kiran aa.ī tīrgī dhāriyāñ banegī
aur us kiran se añdherā pal-bhar ujālā ban kar pukār uThegā
ki bhūlī-bhaTkī yahāñ kabhī tīrgī bhī aa.e
hazāroñ sāloñ kā fāsla tīrgī banā hai
tumhāre hoñToñ pe giit ke phuul muskurā.e ki tum ne apne libās ko yuuñ utaar pheñkā
ki jaise raagī ne taan lī ho
tumhārī har taan tīrgī kī siyāh dhārā banī huī hai
koī kiran is se phuuT paa.e bhalā ye kyuuñ ho
siyāh kamra tumhārī tānoñ se gūñjtā hai
hazāroñ sāloñ se gūñjtā hai
siyāh kamra tumhāre bāloñ kī tīrgī se chamak rahā hai
siyāh kamra libās kī har achhūtī karvaT se kah rahā hai
yahāñ tum aao yahāñ koī tum ko dekh paa.e nahīñ ye mumkin
yahāñ kiran aa.ī to vo fauran añdhere kamre meñ jā chhupegī
aur us pe dhārā libās kī yuuñ bahegī jaise
añdherā kamra añdherā kamra kabhī nahīñ thā
vo ik kiran thī
andhere kamre mein baiTha hun
ki bhuli-bhaTki koi kiran aa ke dekh pae
magar sada se andhere kamre ki rasm hai koi bhi kiran aa ke dekh pae
bhala ye kyun ho
koi kiran is ko dekh pae to us ghaDi se
andhera kamra andhera nahin rahega
wo TuT kar tirgi ka ek sail-e-be-karan ban ke bah uThega
aur us ghaDi se is ujale ka koi maKHzan bhi rok pae bhala ye kyun ho
hazar salon ke fasle se ye kah raha hun
hazaron salon ke fasle se magar koi is ko sun raha hai ye kaun jaane
siyah baalon ki tirgi mein tumhaara matha chamak raha hai
tumhaari aankhon mein ek kiran nach nach kar mujh se kah rahi hai
ki mere honTon mein hai wo amrit
hazaron salon ke fasle se jo ris raha hai
magar ye sab sal nur ke sal to nahin tirgi ke bhi sal ye nahin hain
ye sal to fasle ki pechida silwaTen hain
andhera kamra andhera kyun hai
tumhaare baalon ki tirgi main nigah gum hai
ye band juDa jo khul ke bikhre to phir kiran bhi sanwar ke nikhre
tumhaara malbus ek sapidi pe dhaariyon se sujha raha hai
andhere kamre mein jab kiran aai tirgi dhaariyan banegi
aur us kiran se andhera pal-bhar ujala ban kar pukar uThega
ki bhuli-bhaTki yahan kabhi tirgi bhi aae
hazaron salon ka fasla tirgi bana hai
tumhaare honTon pe git ke phul muskurae ki tum ne apne libas ko yun utar phenka
ki jaise ragi ne tan li ho
tumhaari har tan tirgi ki siyah dhaara bani hui hai
koi kiran is se phuT pae bhala ye kyun ho
siyah kamra tumhaari tanon se gunjta hai
hazaron salon se gunjta hai
siyah kamra tumhaare baalon ki tirgi se chamak raha hai
siyah kamra libas ki har achhuti karwaT se kah raha hai
yahan tum aao yahan koi tum ko dekh pae nahin ye mumkin
yahan kiran aai to wo fauran andhere kamre mein ja chhupegi
aur us pe dhaara libas ki yun bahegi jaise
andhera kamra andhera kamra kabhi nahin tha
wo ek kiran thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.